Ek talaaq bolna
Q: Agr husband sirf aik bar sirf aik lafaz talaq boly to kiya talaq ho jati hai woh b sakhat gusse main?
Q: Agr husband sirf aik bar sirf aik lafaz talaq boly to kiya talaq ho jati hai woh b sakhat gusse main?
Q: Meri ek bahen hai woh 4-5 saal se maike me hai uske shohar ne usko ek notice bheji hai jis me likha hai me tum ko pahela talaaq deta hu notice me shohar ne signature kiya hai aur 2 gawah ka naam hai unho ne bhi signature kiye hai to kya shariat se pahela talaaq hojayga?
Q:
1. Kia rukhsati se phele nikah shuda husband wife ka milna shariyat k khilaf hae?
2. Aur rukhsati se phele agar talaq ho jae tou haq mehr half banta per husband ilzam lagae k nikah jaan bouj k khatam kia wife ne halank wife ne khula ya talaq ka mutalba nahi kia ho kabhi tou haq mehr ka kia bayan hae ese soorat me?
3. Aur iddat ka kia bayan hae ese soorat me?
Q: Shadi ke bad mery husbnd ny mjse srf 1 mnth relation rakha os k bad hm sath rhty the lekin koi relation ni tha hmara aur laraiyan hoti thi mery husbnd ny mje kafi bar bola k tm meri trf se azad ho mein tme ni rakhon ga aur tme talaq dy donh ga mera wada ha! phr 2017 mein mery husbnd ny mje yh sentence bola mein tme 1 talaq deta hon mein tme 2 talaq deta hon aur mein apne parents k pas ah gai meri eddat guzar gai 3 maeny hmari koi bat ni hoi phr 4 maeny bad mery husbnd ny mje mobile pr msg pr talaq talaq talaq likh kr behja aur kah mein tme 3 talaq dy chuka ab tm mery lye haram ho !mera sawal yh hai k kia mje 3 talaq ho gai han k nahi ??q k mery parents smajty k abi srf 2 bar talaq hoi aur mera husbnd k sath nikkah ho skta!jazakAllah
Q: Hmne talaq lene k liye case kiya h 6 month hogae kuch na kuch rukawat aajati h hum dono ek dusre ko talaq dene k liye razi h 13 december peshi h koi dua batain jisse talaq hojae aur case khatam hojae.
Q: Meri shadi Holland main hoi ti... mujhy yahan Holland bulane k liy mere shohar nain humari shadi yahan register krwai... hum nain court marriage ni ki just nikah nama aor doosre papers b register kiyay... Humari financially halat sahi ni ti is liy hum nain Holland k qanoon k hisaab se divorce lai li joo k papers hum nain register kiy thy... Holland k hisaab se humari abh shadi khatam h lakin hum dono ka neeyat naa to talaq daine ki ni ti... hum nain just apni financially circumstances ki base p divorce apply ki... mujhyy yeh poochna ta k Islamic divorce b ho gyi h... Hum nain mutually understanding kr k yahan k qanoon k mutabiq divorce lai li... abh koi kehta h divorce ho gyi h... Agar ho gyi h to iska koi aisa tareka h raju krne ki?
Q:
1. Wazahat kar den ke mahr mithl kia hae?
2. Husband wife ko mahr dene se inqar kar raha hae. Os ka kehna hae k 3 bar waqfe waqfe se talaq dene se mahr khatam ho jata hae.
Q: Jo admi mazaq mai bole apnay dosto se k mene shadi nahin ki to kya is se talaq hogi?
Q: Jo admi jhoot bole apnay dosto se k mene shadi nahin ki to kya is se talaq hogi?
Q: Mera sawal yeh hai k maine apni biwi ko rukhsati se pehle talaaq di... teen bar kaha k maine tumhe talaq di maine tumhe talaq di maine tumhe talaq di. Rukhsati se pehle maine aik bar apni biwi ko uski dost ki shadi jo aik shadi hall main thi wahan car ki parking main mulaqat ki. Us mulaqat main hamne haath milaya tha aur galay milay thay... intercourse nahi kia na hi erada tha na hi woh aise jaga thi jahan intercourse kia jaye aur na hi koi niyat thi kyunke ham nikah se pehle hi faisla kr chukay thay k rukhsati k baad intercourse k rishte main jaengay. hamne car main 30 mintute normal baten kin aur mere biwi wapis shadi hall main chali gaye. Ab 3 saal baad main us larki se dobara ruju karna chahta hun aur woh b khushi se raza mand hai. Hamare liye ruju karnay ka kia tareeqa hoga? Halala k elawa kia koi tareeqa hai jo ham kr skte hun?