Talaaq

Biwi ko "mene faisla kar diya" kehne se talaaq?

Q: Aik martaba larai jhagre ma main ne apni wife ko kaha k tm aik mnth k lie apni maa k ghr chali jao to us ne mjhe kaha k ma apni maa ko kia kahun ge k ma q aye hn to ma ne use kaha k tm un se khna k mere shohar ne mra faisla kar dia h jb k meri talaq ki niyat ni th or na he ma ne usy hamesha k lie jane ka kaha tha ma ne aik mnth k lie jane ka he kaha tha kia ye talaq k alfaz ma shumar hta h k un se khna k mre shohar ne mra faisla kr dia ha?

Do ya teen talaaq dene me shaq

Q: Agar kisi ne apni biwi se 2 ya 3 dafa kaha ho ke mein tumhen talaaq deta hoon jab ke 2 dafa ka yaad hai aur 3 dafa ka confirm nahi yeh sirf khiyal hai ke maybe aisa kaha ho ga aur waisy jitni dafa bhi kaha tha us mein niyat bhi nahi hoti thi wo sirf threat ke liye kehta tha aur biwi hamesha na na please nahi bolti thi? Kya is se still meri biwi hain ya nahi?

Humbistari ke beghair halaalah hoti he?

Q: AGR halala krny wala shuhar hambistri k bgher talaq dydy or dobara English maheeno ky teesry maheeny ki aakhri tareekh ko rujuh kry or dobara nikah Kr ky hambistri kry kya ye halala jaiz hy.

1. Kiya halala krny wala rujuh Kr Sakta hy.

2. Iddat Islamic teen mheeny hoti hy ya English.

3. AGR shohr kahy maiñ tumain teen talaq deta hun tm mri traffic sy aazad ho to WO rujuh Kr Sakta hy.

4. Kya Ab Jo halala hoa WO Thik hoa.

Doosri biwi divorce chaahiye taake pehle biwi ko takleef na ho

Q: Mein ek divorced woman mera ek 13 years ka beta hai.4 saal phele meiny ek achy or naik man say nikha kiya hai..wo bhi phele say married hai un k 4 bachy hain.unhony apny ghar mein nhe batya na hi mery ghar mein ye baat maloom hai kisi ko...ab 4 saal bad ye baat un ki pheli wife ko maloom ho gye hai.or us n bht zayda hangama khra kr deya hai..un k bacho ko bhi maloom ho gya hai..un ki pheli biwi ki zehni halat theek nhe ye baat sun k or wo bht sadmay m agye hain..or ek hi baat kr rehi hain k mujhy divorce de dey..mujhy ye sab dekh k bht takleef ho rehi hai k meri waja say koi takleef mein hai kisi ki dil azari ho rehi hai meri zaat say.mainy apny husband say kha please ap mujhy divorce de dey.taky un ki life mein sukon ajye.. nikha say phele meiny apny sab haqooq maaf kr deye thy..na wo mujhy koi karcha dety hain na sath rehty hain..ab to wo pakistan mein bhi nhe rehty..aaty hain to humri mulaqt ho jati hai..wo apni family k sath turkey mein settle ho gye hain. beshak Talaq ek acha amal nhe..lakin kisi ki dil azari krna bhi to acha amal nhe..mein kya kro meiny un say divorce mangi hai..wo nhe dena chahty..lakin wo or un ki family bht takleef mein hain..or mein nhe chahti meri zaat say koi takleef mily..please mujhy koi soultion bata de.