Talaaq

Teen talaaq

Q: Mera sawaal he ke agar aurat ko uske sauhar ne ek mahfil mein teen talaaq de di to kya talaq ho jayegi? Talaaq ke baad woh aurat ek shaks ke sath bagair nikah ke rahne lagi 2 saal baad woh apne sabiq sauhar k sath nikah karna chahti hai iske liye jab maloomat ki to pata chala ki halala nikah karna hoga to kya ab usse halala nikah se pahle iddat guzarni hogi.

Dawaa khaane ke ba'd biwi ku teen talaaq dena

Q: Saat din pehle maine wife aur kuch family tension ke vajah se dawai ke 2 bottle pi le thi jisse muje hosh nai tha aur usi halat me maine meri wife se 3 baar talaq talaq talaq word jikr kiya jo k muje nai pata. Un words ko mere wife ne suna tha dusre din unhone bataya tb muje pata chala ke maine aise kaha hai. To ye hosh me na hone ke vajah se maine kahe huye talaq words se talaq hota hai kya? Muje yaad nahi k maine talaq 3 baar kaha. please help me.

Teen talaaq

Q: If a husband says talak lo aur jao yaha se 4 times to kia talak hogay aur yay nahi kaha k main tumhai talak daita hu to kia talak hogay ya nahi.

Talaaq ke baare me shubah

Q: I am in a big tension when I read all this pages and questions and answers that small word also affects nikah, I just want to know ki mujhe sirf shak hai aur Humana hai aur naahi saaf taur pe yaad hai, ki jhagde mein mere shohar ne mujhe 'chod diya'yeh alfaaz kaha mujhe itna yakeenan pata hai ki unhone koi aisa jhumla nahi kaha jaise jo Saafsaaf zaahir karey jaise 'Maine tujhe chod diya'.mujhe sirf Halka sa yeh Gumaan hai ki humare chote se jhagde mein Maine kaha 'mujhe nahi Rehna chod do n unohne kaha choddiya'yeh sirf mujhe shak hai ki is tarah ki hamare darmiyaan choti si fight hui,halake mere husband kehtey hai ki unhone kabhi bhi 'chod diya'alfaaz nahi nikala, magar mujhe sirf aisa gumaan hai,kya isse mere nikaah pe kuch farq hoga and kya gumaan ke basis per descission Lena sahi hai? 

Showhar biwi ku apni ID card change karwa lene ku kehna

Q: Mufti sb, shari hukam bayan kren. Meri wife apnay baap k ghar thi or naraz bhe. mai ne sms kia k tum agar mere sath nhi rehna chahti to theek hai lkn us ka koi reply na aya. phr mai ne emotional sms krna start kr dye. jaisay k tum baad mai(yani alag honay k baad) aisa kerna wesa krna, apni ID card change krwa lena(mere sur name wala). lakin ye sb kuch future sentences thy. to kia hukam hai. 2. agar biwi kahay k muje ao se kabi sukh ni mila or shohar agay se kahay k koi or dekh lo(yani husband) to kia hukam hai. meharbani farma ker thori c wazahat b frma dia kren ta k sb shakooq door ho jain.

Dil me talaaq dena

Q:

1. Mera sawal hai ki kisi shaks ne agar sirf dil mein hi socha ki maine apni biwi ko talaq de di hai to kya talaq ho jayegi?

2. Ya phir usne akele mein zuban se kaha aur waha koi maujood nhi to kya in dono surat mein talaq ho jayegi?

Talaaq ke b'ad iddat

Q: Mere ek dost ka call aya tha usko kuch masail paish aaye he jo wo puch ne se kuch sharm mehsus kar raha he is waja se usne muje kuch bate puchi he jiske bare me wo ap se kuch rehbari chahta he...

Us ladke ne ap ni biwi ko talaq de di he... Uske sawalat ye he ap se guzarish he ke iske bare me kuch rehbari farmayein.

1. Talaaq ki waja se biwi ki iddat kitne din ki hogi?

2. Ladki ko kahi salon se haiz (mahwari) nahi aa rahi to kya iski waja se iddet ke time me koi farq aa sakta he?

3. Ladke ne talaq se pehle 3 month tak ladki se suhbat nahi ki to kya isse iddet ke dino me kuch farq aa sakta he?