Talaaq

Khalwat se pehle talaaq

Q: Mujhy yeh pata karna hai, larki ka nikha us k cousin se hoa tha, kuch probs ki wajha se larki nai khula qanoni court se li thi (rukhsati nahi hoi thi family k kuch probs thy) phir kuch time bad us k husband nai normal talaq bhi dey di (stamp paper pe witness k samny). ab ager woh larki shadi karti hai tu kiya nikha naama pe kuwari likha ja sakta hai? husband n wife ka koi apas mai taluq nahi tha.

Talaaq deta hu kehna

Q: Agr shohar apny baap sy fone per bt kr raha ho aur kahy k phone usy do ya speaker open karo main usy talaq deta hn baap kahy ni...lekin bv sath bethi ho aur awaz us tak pohnch jati hai...per shohar ki niyat na thi talaq deny ki sirf dhamkany k liye aisa kaha...is mamly main rehnumai farma dain plz...

Talaaq

Q: Agr biwi jinnat ki mareeza ho aur bemari ki halat main kahy k mje talaq do aur shohar sirf usy manany k liye kahy k acha deta hn taky woh shor na kary... talaq ki koi neyat na thi na hi koi jhagra hua tha.. is main rehnumai farma dain

Biwi ke zina karne ke ba'd saat rehna?

Q: Mera ek dost he, uska nikah 8 sal pehle hua tha, nikah k 5 sal bad uske badhi mannnato se ladhka peda hua, bchcha 1.5 sal ka ho gaya or uski maa, mere dost ki biwi ko ashiqi ka bhukhar chadha, wah uske walid ke ghar aksar milne jaya karta thi, or kuch din rukti bhi thi., uske walid ke ghar rehkr usne kisi ger mehram se talukat kayam kiye or hamila bhi ho gyi, bad iske jab uska shohar usse lene gya to unke samne us ger mehram ke sath bhag gyi, or 24 gante bad bhagte huye pakdhaye, pakdhane ke baad uske walid us ladhki ko uske gar le gye, mere dost ne talaq ki ichchha jahir ki par rishtedaro ne chalne nhi diya (us bhagne k mamle ko ranjish bata kr niptaya gaya) or use us waqt is haram kari ke bare me nhi bataya gya, mere dost ne uske bachchhe ki khatir us ladhki ko maaf kr diya, jab mere dost ki biwi uske ghar aayi to 15 din achchhe se rehne ke baad usne natak chalu kr diye, or uske shohar ko sari bate quran sharif par hath rakh kr sab bata diya, uske shohar ko sab pata chal gya, or wah us ladhki ke sath nhi rehna chahata, or ladhki bhi nhi rehna chahti, ab masla ye he ki us masoom ka kya hoga, uska baap use rakhna chahta he, or uski maa dena nhi chahti, baap ko pata he agr ladhki bachcha le gyi to us ladhke ki zindgi tabah ho jayegi... ab bataye kya aesi aurat ko nikah me rakhna sahi hoga wo bhi bachchhe ke liye, ya talaq de diya jaye? agr mera dost sabr karta he to use kya azar milega,? aur agr aesi biwi ka katal kar de to gunah hoga???

Teen talaaq

Q: Maine nashe ki or ghusse ki halat me phehle biwi ko 2 bar talak bola tha fir main dobara nikaah kara aaj fir wo hi galati ho gai 2 bar bola abb muje ek bacha bhi hai or biwi sansar karn tayar hai. Ruju bhi hua lakin ham abb alag hai bohot pachtare bache ke lie hamari maddat karo... kuch sahih rasta batao ham sat rehna chate hai..

Tahreeri talaaq

Q: Mere husband ne mujhe January 2017 mein do divorce ke letter bheje. Aik letter pr talaaq e awwal aur dosre letter pr tlaq e Dom aur som likha hwa tha.But us pr date January 2016 ki tehrir thi. Jabke 2016 mein na tu wo Pakistan mein the aur na hi unhon ne koi tlaq bheji.Wo deçember 2016 mein Pakistan aai aur mein December mein in k sath bhi rhi.us k baad unhon ne mujhe maikay bheji dia.aur us k baad January mein ye tehrir bhi bheji di.mujhe unhon ne zuban se kuch nhi kaha.aise ghalat date k sath talaq ho jati he?unhon ne tlaq 2017 mein 2016 ki date likh kr tehrir ki jbke 2016 mein mein Hamal se thi. Kia koi gunjaish baqi he?

Showhar "tum chali jao" kehna

Q: Mera sawal ye ha mene narazgi me shohar se jane k lye kaha k men ghr chali jaungi or tum akele rehna. Meri intention khula lene ki nahi the aur shohar ne agay se kaha thek ha tum chali jao mene kaha men wakai chali jaungi tu unhu ne kaha haan chali jao ghr. Isse khuda na khasta talaak tu nhn hoti kun k meri koi khula ki niyat nhn the na mene ya mere shohar ne aisa kuch b chaha. Mene narazgi me jane ko kaha or unhu ne b narazgi me hi kaha k chali jao.

Kiya "chor dena" kehne se talaaq hogi?

Q: Main abhi Iraq main houn.meri wife k sath pic send karnay py behas hui.usnay meri bat ko ghalat smjha.ghalatfehmi peda hui usky sath aur jagra hua.many gussay main aky sirf yeh bola "many tumhain hal pay chora chao to cchor do mujy tum" phir usny dobara msgs kiye ultay sedhay to many phir likha "ajsay many tumhain tumhary hal py chora"  Lakin mujy talak k ilfaz ka pata ha Quran ka pata ha aur tarjuma sy Quran parha hua ha...manay na to talaq ki neyat sy dia tha...bs tang akay bola k roz k jagray hotay hain means tum lagi raho ab main kuch nahi bolta tumhain...yeh point tha...aur agar talaq deni hoti to main deta bcz darany k lia main aksar talaq ka bola karta tha...lakin kabhi nahi di lafz b ada nahi kiye...bas tang akay bola sb...kia talaq hui ?