Talaaq

Teen talaaq

Q: Meri ek sal pehle sadi hui thi sadi me fatwa nahi padaya hua tha Na hi manjuri li just nikah Nama me sine hua tha aur wo kagjat ka registration bhi nahi hua ab meri family ne tlak dilwa diya par wo larka nahi dene mang rha tha usme ek tlak diya aur baki divorce papers par sine huye they ab me phir usi k pas Jana cahti hu dono ki rjamandi h to me ab kaise jau waha ap pls btaye.

Biwi ku daraane kia lia "hum dusri shaadi krenge" kehna

Q: Hum koi bhi baat par apni wife ko darane ki neeyat se bolte the ki hum dusri shaadi krenge. Phir wo mujhe jb bhi koi baat hoti thi to wo bolti thi ki aap dusri shaadi kar li gai ye to hum bhi bolte the ki tm ko dusri shaadi karni hai to tm kr lo tm ko dusri shaadi krni hai to btaao to Kya is se hmara talaq ho gya yaa phir kbhi koi mujhse bina btaaye koi kaam krti thi to hum gusse me bolte the ki tm ko jo dil kre tm kro apni waali aaj se apni waali krna tm aazad ho jo dil kre tm krna hum ko jo dil karega hum krenge. To is se kya hmara talaq hua ya nhi?

Biwi se kehna ke "aaj ke baad tm se baat nhi krenge"

Q: Hum gusse me apni wife se bolte hai ki aaj ke baad tm se baat nhi krenge aaj ke baad tmhare pass nhi aayenge naa tm ko apne pass aane denge naa tmhara chehra dekhenge lekin phir one week baat nhi krte hai phir jb gussa khatm ho jaata hai phir sab kuch normally ho jaata hai lekin kuch bhi ye sab bolte hai talaq ke neeyat se nhi bolte hai is se hmara nikah pr koi asar to nhi padta hai naa?

Halaala owr iddat

Q: Mera kehna yeh hai ki mere dost ne do saal pahle apni biwi ko teen talaaq ek sath di thi phir ek. Mufti sb ne kaha ki teen talaaq ayk hui tum ruju kar lo. Usne ruju kar liya ab usse pata chala ki yeh galat tha woh dono bachchon ki khatir ek hona chahte hai usne apni biwi se kaha ki tum mere dost se nikah kar lo aur woh tumhe humbistari k baad talaaq de dega phir apne dost se kaha ki tum meri saali se halala nikah kar lo aur usse halala ka masla bataya raste mein waha par nhi jaha par nikah hona tha uska dost raazi ho gaya phir halala nikah hua aur nikah k 1 ghante baad usne talaaq de di humbistari k baad talaaq dene ka andaz yeh tha ki usne 2 talaaq di aur lamha bhar k baad biwi ne kaha ki ek aur de do usne ek talaaq aur de di Mere sawal hai ki:- 1 kya aurat ko halala nikah se pahle iddat poori karni thi jabki talaaq 2 saal pahle hui thi 2 kya jis tarah se halala nikah hua aur jis andaz mein talaaq di gayi to kya halala nikah ki sharait poori ho gayi?

Likh kar talaaq dena

Q: 16 tareek ko mere shohar mere gr ak kagaj pr ye likh kar laye k me apne pury hosh hawas m apni patni ko talak deta hu or ye m likhit roop m deta hu or mere sy sing. Krwaye n khud n bhi kr diya to kya is tarah sy talak ho gai?

Teen talaaq

Q: Mere bhai ka kehna hai ke usne biwi se jhagde je douran teen talaq kahi, lekin biwi ka kehna hai usne do hi suni bhai ne kaha seedhi utarte waqt teesri kahai, barai meherbani aap yeh bataye kiya ab woh nikaah me reh sakte hain ya talaq hogayer?

Teen talaaq

Q: Agar koi kahe ke mene apni biwi ko teen talaq de diye lekin tanhai me jahan koi na ho apni biwi bhi maujud na ho sirf ye aadmi kamre akela he aur khud ko keh raha he ki mene tin talaq diye to kya talaq ho jati he? Halaaki biwi ne suna bhi na ho aur usko malum bhi na ho aur agar ho jati he talaq to kya karna padega? Aur agar aadmi ko shaytani asrat ho aur vo dimaag se bahot dukhi ho yani mentaly disturb ho chuka ho aur aisi situation me biwi usko bahot dukhi karti ho aur pareshan hokar vo apne aapko akele me kahe ke maine apni biwi ko tin talaq diye ( biwi ki gair maujudgime ) to kya talaq ho jayegi?