Teen talaaq
Q: Kia fiqh hanfi main ayk waqt main teen talaqain ho jati hain?
Q: Kia fiqh hanfi main ayk waqt main teen talaqain ho jati hain?
Q: Hazrat mera sawal yeh hai ki mere dost ne apni biwi ko do saal pahle teen talaaq de di thi. Tab ek maulana ne kaha ki teen talaaq ayk hi hui aur woh dono sauhar biwi ki tarah rahne lage abhi ayk mahine pahle uske ghar ayk alim sahab aye aur kaha ki yeh galat hai bagair halala nikah ek sath nhi rah sakte magar ab iddat ki zarurat nhi kyuki do saal pahle talaaq do gayi thi ab tak jo sath rahe woh haraam hai tab mere dost ne apne bhai k sath turant nikah karwa diya aur humbistari k baad usne talaaq de di ab woh iddat poori kar rahi hai kya ab woh iddat k baad pahle sauhar k saath nijah kar sakti hai.
Q: Agar kisi larki ka nikah hogya ho, aur rukshati nahi hui ho or dono ke darmiyan talaaq qaaim na hua ho aur larke ne phone call par teen baar talaaq dedi ho balke teen baar do dafa total six dafa boldia ho. To os larki ki talaaq hojaegi? Aur iski iddat hogi ya nahi?
Q: Mere swal yeah hai ke talaaq la lo or talaq dye dean ga in jumlooen se talaq ho ti hai ya nahi?
Q: Mera sawaal ye he ke ager koi shohar apne biwi ku teen talaqain zaban se ya court ke zariye se deta he jab ke bevi hamila thi to kia tallaq waqia hogi ya naheen? Quran owr sunnat ki roshni me jawab inayat farmain.
Q: Meri shadi 15 September 2013 mai hui thi. 18 April 2016 Mai husband ne talaq de Di us waqt Mujhe 2 month ki pregnancy bhi thi. Agle din Mai Ghar aa gayi aur Maine abortion kara Lia. Phir 3 mahine k bad hilala bhi ho gya kyu k ham phir se ek Hona chahte hai. Ab hilala k bad iddat 3 HAiz batai ja rahi hai. lekin mujhe Haiz nahi ho rahe hai kyu ke wash karne ke bad suna h kisi ko 6 mahine ya sal tak bhi Haiz nahi hota. Lekin ham jaldi milna chahte hai. Doctor ki dawa bhi kha ki lekin Haiz nahi ho raha he. Mere husband keh rahe hai ke ye bimar hai. Tum ek kam karo 15-15 kar Ke 45 din Mai 3 hez ki iddat Puri kar kr Ke mere pas aa jao. Nikahkar ke dobara. Ab mera sawal ye hai ke Mai is trha apni iddat Puri kar k unse dobara Nikahkar kar Sakti Hun kia. Kyu ke mere do bache hai. Ak beta h 2 sal ki aur ek beta h 1 sal ka.
Q: Mera ek rishtedar hai. Uska nikah aj sy 7 sal pehly ek larki sy hwa lekn rukhsati nahi hoi us waqt us larky ki umer 18 saal the ab 2,3 saal sy masla chal raha hai wo larki js k sth nikah howa hai wo razi nahi hai aur us ky maa baap bhe rishta deny sy inkar kr rhy hain ab wo larka talaq nahi deta to court sy unh0n nain talaq ly li aur nikah karwa lya ab us larki ki rukhsati kisi aur larky ky sath hogi. Ab gunah kis ko hoga aur dowsri shadi jaiz hai ya nahi aur unki dawat walima main jana kesa rhy ga gunah to nahen mily ga?
Q: Mere shaadi ku saat years hogaye hai. Mera aik beta hai che years ka. Shadi ke start mai mera husband mery sath acha tha phir baad mai os ka behaviour change hony laga mery sath. Mera husband boht bad charactered tha, os ke boht se girls ke sath relations thi. Inhi batho ke waja se hamary larai jagray hoty rahy aur baat court tak pohnch gai. Court mai faisla huwa ke mai dobara husband ke ghar chali jao. Mai dobara waha chali gaye phir jagra howa. Phir kuch arsa baad mai apne husband ke ghar gaye mery husband ne mujhy kaha ke tum chaho tou mery sath reh sakti ho mery ghar lekin wife ke jo huqoq hai wo mai tm ko nahi dunga, mai wapas aye apne maa baap ke ghar aur waha pe do saal guzary es doran mery husband ne mera pocha na mery bety ka. Court ne mjhy aik bar phir husband ke ghar jany ka kaha mai chali gaye. Phir husband ne bataya ke tum ko biwi wali huquq nahi mely ge tum sirf mery naam ke wife ho, os ne apni maa ke qasam kaye ke mai tmhary qareeb zindage bhar nahi aonga, iss baat ko 6 months hogaye hai. Mere friend ne mujhy kaha ke es baat se mere talaq hogaye hai. baraye mehrubani mere rehnumai kejiye k mere talaq hui hai ke nahi.
Q: Mein nay court se shoher ki mojudgee mein khula lia hai, aur shoher ke koi signature ya bayan nahin lia gia. Kia ye khula ho gia hai aur iddat kab se shroo ho gee?
Q: Can hurmate musahara apply if a girl age 8 years 7 months according to Islamic calendar and 8 years 4 month according to esaai calendar?