Talaaq

Talaaq ke ba'd mahr me jhagra

Q: Mere aek dost ka talak hogaya. Aura ouske bad dono khandano key bich dhamkiya shuru thi Aise me mere dost ne Mehar Ki 5000 rakam Jo tay thi wo post se bhej di. Magar ladaki walone who rakam nahi lee aura kaha key Hume eisse bhi jyada rakam chahiye. Aur mera dost ne zyada rakam dense inkar kiya kyon ki zyada rakam tay nahi huyi thi Aab masla ye hai Ki abtak mera dost tay shhoda meher Ki rakam nahi adaa Kar saka kyonki ladki walone ous rakam Ko lene se inkar kar diya to kya mere dost Mehar Ki rakam adaa na karneka gunahgar hoga?

Teen talaaq

Q: I'm married since 2006 and have 3 children. In march 2014 my husband said in anger should I give you talaaq? I said no and left the place while going to the other room, my husband said: "tu azad he". After that in April 2014 while in anger he sent me SMS twice writing "talaq deta hon" and again sent it. I asked some mufti he said this is three talaaqs. But Ahle hadith think it is two. We made ruju. Now on 15th of  feb 2015 he said in anger talaaq deta hu. Again talaq deta hon. Kia talaq ho chuki he or there is any gunjaish?

Showhar biwi ku "tumara mera rishta behn bhai jesa ho gaya" kehna

Q: Me Paris men hon or meri aor biwi ki lari ho gei woh apnea meky chil gi men ney us ko fone par kaha ke tum mere ghur chali ja bar bar kaha lekin woh na mani to sir men ney darany ke ley us ko kaha ke agr tum ayk mahiny ke andar mere ghur nahen ge to tumara mera rishta behn bhai jesa ho ga to sir men ney serf darany ke ley kha hey meri koe talaq ki niyat nahen thi to mufti saheb men ney gussy men kaha hey walah meri niyat talaq ki nahen thi us ke fouran bad men. Men ney apny alfaz bhi wapas ley hen aor Yeh bhi kaha hey ke hum done hameshan ke ley meyan biwi hen to mufti saheb as agr woh mere ghur chali jati hey ya pher nahi jati to sir as par nikha par to koe asar nahen pare ga allha junta hey sir men apni bewi sey bahot peyr krta hon aor sab kuch Sach likha hey sir min bahot pareshan hon plz jawab jaldi dena allha hafiz.

Talaaq ka masla

Q: Mera questions ye he ke meri wife ko zuberdasti os ke maa bap nai warghela ke rok lea do saal tak na muj se ono nai koi rabta karny deia bivi ko phr court mai case kea mery khelaf jab court se kuch haasil nahi ho saka to ono nai ayk jirga rakha jis mai larki ki traf sy gava bi pesh houy k larki talaq chati ha jb k mai talaq ni daina chata tha ono nai jubran lee wo bi kuch sherait thi jo ono nai pori ni ki na adalat sy case wapas leia wo hr kam mai frad or dhoka bazi sy kam lety hai jb mai nai wapas case kea k mai nai talaq ni di court mai to larki nai muj sy rabta kea k mai nai na koi gava beja ha na kisi ko talaq ka bola ha or larki ka taya haji sab nai jirga mai cal bi ki k larki khud talaq chati ha ab larki kasam kha rahi ha k mujy call ni ki na mujy pata ha ab as frad ki talaq ka kea hukam ha quran e pak ki roshni mai na mera irda tha talaq dainy ka na meri bivi nai talaq ka bola kbi mujy muj sy os k maa bap nai rsbta hi ni karny dia larki ko ab as soorat agr wo court sy wapas mery sath ati ha to mujy kea karns ho ga jb k ghulti hum miaa bivi ki ni ha ye sub larki k bap nsi paiso ki laalach mai kea ha frad py frad.

Ghusse me talaaq

Q: Mera sawaal ye he ke aaj mere husband ne gusse me mujhe ek baar talaq bola he to kya mera talaaq ho gaya? Agar nahi huva to is ka kya hal he or dusra sawal ye bhi he ke kuch sal pahele shayid gusse me talaq bolna chaha tha but mene muh pe hath rakh diya tha is bat ke liye sure nahi hu ke mere huband ne bola tha ke nae to use ke liye kya krna chahiye. Please answer me.

Talaaq ka masla

Q: Mera sawal ye he ke ek larki larka jo ek doosre ko pasand karte the gunah k dar se larki ne larke se k mujhse nikah karlo. Larka larki ko bike pe bitha kar le gaya apne doston k paas. Wo dono dost road pe khare the or larka larki bike pe the or isi tarha in logo ne ijaab o qubool kiya. Is beech dono me bohat laraiyan hui karki ne bohat dafa larke se talaq bhi maangi jo larke ne di ya nahi larki ko yaad nahi he. Phir larki ki maa ne uski shaadi karni chahi. Larki ne larke se poocha ke ab kya karen larke ne kaha ke me to kuch kamata nahi hu kese khilaaunga tumhe to tum shadi karlo apni maa ki marzi se. Larki ne maa ki marzi se shadi karli ab uske do bache hen. Ab ye bataen ke kya un dono larki larka ka nikah hua tha? Or agr nikah hua tha to kya unki talaq hogai thi jab larke ne larki ko azad kiya? Ab jis se us larki ki shadi hui he kya wo usi ki bivi he ya Nahi? Larki ne isko gunah samjh kar allah se bohat maafi maangi he or wo apne shohar ke saath Hajj bhi karchuki he to kya ab uspe koi gunah hoga agr usne koi galti ki he to?

Faarigh ka lafz talaaq ke lia istimaal hota he

Q: Mere husband hamesha mujhe baat baat par kehte rehte hai ke tum meri taraf se farigh ho yaha se chali jo abhi to hafte pehle ki baat hai mere husband ne kaha meri taraf se tum farigh ho mai tumhe talaaq deta hoo, do din baad maine poocha ke ap ne aisa kyu kah mai yahi soch rahi ti ke unhe is baat par pashtava hoga par mere husband ne kaha us ne jo kaha teek kaha or wo likh kar bi de dega aur phir kaha meri taraf se tum farigh ho alag kamre mai soya karo, us din se hamari koi baat cheet nahi hu mujhe kuch samaj mai nahi araha. Please muje bataye kya mera nikaah toot chuka hai.

Talaaq ke alfaaz ku dohraana

Q: Ek raat me kafi der kat Talaaq ke bare men Fatwe pad raha tha Aur Audio bhi suna tha internet pe. Aur jab soya to woh word talaq word zuban pe tha yani suna hua repeat kar raha tha aur karwat liya samne biwi leti the dhiyan uspe chala gaya jab ke me ye word biwi ko nahi keh raha tha nahi usse mukhtib hokar kaha tha aur nahi use talaq de rhaha tha bas talaq word istemal karte hue dhiyan bivi pe chala gaya. (Aur ye words man hi man men bol raha tha mere honth hil rahe the lekin awaaj nahi nikal rahi thia aur agar kuchh bhunbhunahat nikal bhi rahi ho me yaqin se kehta hun ke karib betha hua shakhs nahi sun sakta) aise me mere nikah pe to kuchh ashar nahi hua na sir.

Biwi ku teesri talaaq dene ka shaq

Q: Meri shaadi june 2013 me huyi thi. Shaadi ke baad mai apni biwi ke saath bhot khush tha. Mai ne uspe kabhi shak nahi kiya kyun ki mai uspe bhot bharosa karta tha. Lekin shaadi ke chaar mahine baad usne mera bharosa toda. Aur meri nigaah se gir gayi. Phir bhi mai uske saath kisi surat se guzar kar rha tha kyun ki mai usse bhot pyar kr ta tha. Kuch din baad mera usse jhagra hua aur maine use ghusse me aakar 2 talaaq di thi. Talaaq de kar mai bhot pachtaya. Phir mai kamre bahar nikal gya. Talaaq dene ke kuch din baad mujhe pata chala ki meri biwi hamal se hai. Ye baat sun ke mai bhot khush hua aur fir miya biwi ki tarah rehne lage. Aur phir kuch mahine baad mai apne parivar ko mumbai le ke aagya aur apni biwi ko us ke ghar chod diya. Phir kuch mahine baad mujhe ladka hua aur ladke ki faut ho gayi larke ki faut hone ke baad mai bhot parishan ho gya aur dar gya. Tab se mai mashallah 5 waqt ki namaz pabandi se pad rha hu. Ek din mai jumme ki namaz padhne gya to maulana talaq ke baare me bayaan kar rhey they. Jab maine un ka byaan suna to mere rowen rowen khade ho gaye. Mai bhot parishan ho gya ki ye maine kya kia. Mai aaj tak ye samajh raha tha ki ek baitahk me agar 3 baar talaq kho ge to 3 pade gi mujhe yeh nhi pata tha ki chahe ek baar me 3 baar kho ya alag alag dafa kahi sab ka ek hi hukm ha. Mai ghalti kar chuka hun isliye parishan hun maine apni biwi ko pahle 2 baar talaaq diya tha aur uske baad ek aur diye hai.tisra talaaq mujhe yaad nhi tha lekin jab bete ki faut ke baad parishan ho kar namaz ki pabandi ki tab ye khayal aaya. Ab sawal ye hai kia mera talaaq ho gya maine ye saari baat apne waaldain ko biwi aur rishtedaaron ko bata di hai kya maine sahi kiya ab sab log yahi samajhte hai ki mera talaaq ho gya. Meherbani karke aap Quran owr hadees ki roshni mera faisla sunaaye 20. Kya zehen pe dabaao daalne se agar di hui talaaq yaad aajaye to kya talaaq waaqiye ho jaa hai.

Teesri talaaq dene me shaq

Q: Mera sawal yeh hai ke meri shaadi huye 1 saal ho gaye they aur in guzre huye saalon me maine alni biwi ko kisi wajah se 2 talaaq di thi. Aur mere zehen me baar baar 1 talaaq dene ki baat aurr aarahi hai ke maine ek aur talaaq di hai. Please mujhe bataayen mai kya karoo. Ab maine apni alahidgi ikhtayaar kar li hai. Aur sab ko pata bhi chal gaya hai ki maine apni biwi ko talaaq di hai. Please meherbani karke jald jawaab de ki kya meri talaaq waqiye ho gai hai ya nhi huyi?