Talaaq ka masla
Q: Mera sawal ye he ke ek larki larka jo ek doosre ko pasand karte the gunah k dar se larki ne larke se k mujhse nikah karlo. Larka larki ko bike pe bitha kar le gaya apne doston k paas. Wo dono dost road pe khare the or larka larki bike pe the or isi tarha in logo ne ijaab o qubool kiya. Is beech dono me bohat laraiyan hui karki ne bohat dafa larke se talaq bhi maangi jo larke ne di ya nahi larki ko yaad nahi he. Phir larki ki maa ne uski shaadi karni chahi. Larki ne larke se poocha ke ab kya karen larke ne kaha ke me to kuch kamata nahi hu kese khilaaunga tumhe to tum shadi karlo apni maa ki marzi se. Larki ne maa ki marzi se shadi karli ab uske do bache hen. Ab ye bataen ke kya un dono larki larka ka nikah hua tha? Or agr nikah hua tha to kya unki talaq hogai thi jab larke ne larki ko azad kiya? Ab jis se us larki ki shadi hui he kya wo usi ki bivi he ya Nahi? Larki ne isko gunah samjh kar allah se bohat maafi maangi he or wo apne shohar ke saath Hajj bhi karchuki he to kya ab uspe koi gunah hoga agr usne koi galti ki he to?