Talaaq

Ghusse me teen talaaq

Q: Mera sawal mere parents ki divorce ke hawale se hai mere father ne meri mother ko takreeban dair saal pehle gusse mein talakh dedi the 3 bar keh kar ke mein (tumhe talakh deta hoon talakh deta hoon talakh deta hoon) lekin us ke 2 ya 3 din baad unhone rujoo karliya yeh keh kar ke gusse mein talakh nhi hoti. to kiy talakh nhi hooi? kiya yeh rujoo jaiz tha? 3 din pehle unhone phr meri mother ko physically abuse kiya or usi gusse ki halat mein 5 bar kaha ke (mein tumhe talkh deta hoon talkh deta hoon talkh deta hoon talkh deta hoon talkh deta hoon) to kiya talakh hogai? or phir unho ne 3 din baad rujoo karliya or meri mother agree hien unke sath wapiss shadi shuda zindagi guzarne ke liye... kiya mere mom dad ek dosre ke liye halal miya bv hein? or kiya is tarah baar baar gusse mein talakh deke ruju karna jaiz hai? agr nhi to please Quran or sunnat ki roshni mein batiyeh ke meri mother ko kiya karna chaiyeh?