Q: Mene do khwaab dekhe he:
1) Pehla Khawab Hazrat mene khawab dekha ki kuch log (non muslim) ek building me talaash kar rahe the koe muslim namaaz to nahi padh taki unhe rok sake. Me unka pichha karta hu wo ek room ka shutter khol ke andar jaate he waha kuchh log namaaz padh rahe hote he. Ye non muslim log unpe gussa karte he aur unhe puchhte he ki batao kis kitaab me likhkha he ki "ALLAH ek he", to log (Muslim) shayad ghabraye huve hote he to usi waqat mene bich me aake jawaab diya ki “ALLAH ki Kitaab Quran me likha he ki ALLAH ek he, aur surah ikhlas ka tarjuma bataya ki"Qul (keh dijiye) ke Allah ek he, na usme se koe paida huva na wo kisi me se paida huva.” Aus fir mene kahaa ye baat ALLAH kehlvae bhi apne kisse, ek Special Person se(Khass saqsiyat se),kissi ne special ka matlab kuchh aur kahaa to mene fir se kahaa nahi special matlab khaas.
2) Dusra Khawaab Ek shaks mujse puchta he ki mujhe taklif aur pareshani se kayaa chiz bachaa sakti he to use jawab deta hu ki “ALLAH ka din tume har pareshani se aur taklif se bachaa sakta he”.
Mufti sahib baraye mehbani ye dono khawab tabeer bataye.