Naseehat

Musht zani ka ilaaj

Q: Me sakht museebat aur pareshani me hu. Musht zani ki wajah se meri sihhat pe bohot bura asar pel raha he. Haath par kanpte he jhatky lagte he dimagh intihai kamzori hogaya he. Kuch hai hi nahi zindagi me many ko dil chahta he. Please mujhy bacha le.

Kisi ki gheebat karne se parda poshi karna

Q: Me aap se poochna chahti hu ke meri derani he woh meri bohot achi si dost he behen ki tarah but mujhe recently pata laga ke woh meri gheebat kerti rehti he aur jhoot bolti he mere baare me. Jab ghar walo ko pata laga toh unho ne mujhe kaha ke jawab do but me ne kaha ke me iske baare me koi baat ni ker sakti me apni derani ki parda poshi kerugi. Toh aap bataye me kiya keru, sabr se kaam lu? Woh abhi bhi gheebat kerti rehti he toh kiya keru me ab jab ke me ne iski parda poshi ki bharum rakha?

Tijaarat me dhoka khana

Q: Me hamesha koshish karta hu niyyat saaf ho kisi ka haq na khaun kisi ko dhoka na doun aur na diya he aur kabhi yeh weham o guman me ni aya ke aisa karna ha lekin masla yeh he ke hamesha mera paisa kha lia jata he dhoka milta he haq kha jate he log aur bohot sara paisa kha bhi gayi he. Aisa kyu hota he? Aakhir kiya kami ha kiya karna chahiye mujhe.

Becheni ke liye naseehat

Q: Aap se arz karna tha ke mujhe kaafi maheene se ajeeb kayfiyyat ka shikaar hu. Internally pata nahi kya hogaya he. Beycheni rehti he. Har waqt kisi kaam me dil nahi lagta zehni sukoon aur internal satisfaction nahi hai kisi qisam ka faisla kertay waqt ajeeb zehnai koft aur preeshani ka shikar rehta hun. Samaj nahi aata jo kaam socha he wo karun ya na karu raaton ko neend bhi nahi aati. Dil mutmain nahi hota kya hogaya he? Baaz awqaat dil kerta he zoor zoor say ro. Meri waalidah bhi nahi he jin se bol kar dil hulka kar sakun. Mujhey koi dili aur zehni sukoon ka wazifa bata de aur is ke liye bhi ke mujhey faisala karne ki taaqat bhi ajaaye?

Dil halka karne ke liye kisi ko apne pareshani bataana

Q: Agar me kisi masle se guzar rahi hu or wo baat me agar apni kisi dost ko bata do take mera dil halka hojaye to kiya wo theek hai? Aur mera masla agar family ki wajah se ho aur me apni dost ko bata du to kiya wo theek he ya nahi kyun ke me ne suna he ke wafa dar aurat wo he jo apne ghar ke aib kisi ko na bataye lekin insan par apna dil halka karne ke liye kiya kare?