Naseehat

Maa baap ki ziyaarat karna

Q: Mere waalid ki wafaat ho gai. Walida bohot zaeef he aur khawind maa se milne nahi deta. 6 mahine se maa ki shakal nahi dekhi. Mere khawind saath bhi nahi rehta. Doosre sheher me apni maa or behno ke paas rehta he. Me apne do chote bacho ke sath akeli rehti hun aur me pregnant bhi hu. Mere sath bohot zulm or na insaafi hoti he.

Shohar ki behne biwi par jhoote ilzaam lagaana

Q: Agr shohar ki behno ko har thori arse bad apne bhai ki biwi pe jhooti ilzaam lagane ke bad ye khwahish ho ke ab unka bhai apni biwi se kahe ke meri behno se mafi mango aur un ko mano ke wo apne bhai ke ghar aya jaya kare aur agar us shakhs ki biwi ye kahe k mujh pe jhoote ilzaam bhi inho ne lagaye he ab ulta maafi bhi me hi mango aur is pe us shakhs ki behne usko majboor kare ke tum kaise mard ho jo apni biwi sy hum se maafi nahi mangwa sakte or humare aage jhuka nahi sakti aisi soorat me biwi ko kiya karna chahiye jab ke wo is sare mamle me zehni or jismani tor par bhi bimaar ho chuki ho.

Us larke se shaadi karna jis ka tumor he

Q: Meri shaadi ke liye ek proposal aaya he. 2.5 saal pehle hum saath kaam karte the. Hum ne ek doosre ko kabhi is nazar se nahi dekha na kabhi shaadi ka socha.

5th January ko uski taraf se shaadi ka proposal aaya he. Uski family bohot achi or cooperative he. Is Ramzaan hamara nikaah chahte he. Dono families ko koi objection nahi is shaadi se. Ek problem hai, teen ya chaar saal se us larke ke nose me tumor he jis ki wajah se kabhi kabhi usse saans lene me problem hota he. Hafta ya 10 days mai 1-2 dafa saans ka problem hota he. Koi medicine nahi leta khud thek hojata he. Doctor ne operation ka kaha he magar sath yeh bhi bataya he ke tumor again barhta he. Wo larka operation nahi chahta he kyun ke:

1. Tumor phir se barh jana he

2. Uska face kharab hojaega

3. Filhaal usse koi khaas masla nahi ho raha he

Is se meri family ko abhi tak is baat ka nahi pata. Shayed yeh jaan ke meri family is proposal ko na karde. Is baat pe mera yaqeen he ke marna jeena Allah ke ikhtiyaar me he magar mera sawal yeh he ke kiya sirf is bemaari ki wajah se is rishte ko inkaar karna thek he? Kyun ke is bimaari ke alawah baaqi sab thek he is proposal me. Me bohoot confused hu, please mujhe bata ye ke kiya karun? 

Zillat se nikana

Q: Main zillat se niklana chahti hoon log mere izzat nahin karte kya sari zindagi zillat ke samna rahe ga aur marne ke baad bhi kiya mere mathe par zillat likh di gayi hai kiya mujhe maafi nahi mil sakti?

Pareshani ki wajah se ghar badalna

Q: Muje jis ghar mein rent par rehti hu wo kuch alimmo ne change karne kaha hai kyunki jab humne ghar liya tab kuch months baad se mere husband ko blood pressure ka issue ho gaya, aur mera ek preterm baby huwa tha wo bhi guzar gaya, aur kuch month baad muje hamal raha lekin woh bhi miscarriage hogaya, so aisa hai ke kya hame ghar change karna chaiye?

Ma baap se zaban daraazi karna

Q: Mujhe koi aisa amal bata dijie jisse me apne maa baap dono se zaban daraazi karna band kardu aap aisa karke mujhe dozak ka mustahiq hone se bachane ka zariya bn jaege. Mere dil ko ehsas hota he ye galat he me apni ammi ki har choti zarurat ka dhiyan rakhti hu khud se pehle unke liye sab karti hu lekin jab wo kuch kehti he tab nhi rok pati khud ko baad me afsos hota he ki ye kya kia dua bi karti hu esa na ho tab bi kuch nahi hota.