Naseehat

Baap ka haq adaa karna

Q: Mera masla ye ha k mera baap bohat he sakhat admi ha par pyar b apni olad se bohat karta ha par meri umer 20 saal ki ha sabse bara ghar may olad may me hon muje ek serious issue ha k mere baap ka muje gandi gandi galliyan maa behan ki ya us se b uper ki dena baki family k samne mujse bardasht nahi hota choti choti bt pe b muje galiz galliyan sunne ku milti may unhen guse may kahta hn k galiyan mat den baki ju marzi kahen isi bt pe may behas karta hn tu unhen ye chez meri awal darjey ki badtamezi lagti ha kya muje ye nahi karna chahyea?? meri ma muje kahtin hain k wo tera baap ha in the end wo ju marzi kah sakta ha? Kya meri maa sahi ha? Islam may baap ka ye raviya jaiz ha? isi wajah se mere or papa k dermeyan bohat duri ha may unse koi b bt khul k nai karta. Phir meri nature aisi ha ke may badtamezi nahi karta magr inhen badtamezi lagti ha islam muje kya hukam deta ha reference to books hadis or Quranic verse se bataen. May ghar may b bohat tang aya hua ha aye din yehe masla rahta ha.

Shaadi me pareshaani

Q: Ayk larki hai jiski shadi ko 1 1/2 saal ka arsa guzar gya yani derh saal ka shru k 4 mnths uska shohr thk tha lkn us k bad se ab tak wo uske pas tk ne ata na uska haq ada karta hai wo bht prshan he koi solution smjh ne ata wo shakhs use hath tk ne lgta akhr kab tk wo sbr kre or kya kre. Kya ye kisi chz ka asr ho skta hai ya uski kmzori ya koi or issue bhrhal lkn wo blkl us se door rhta hai ap koi wazifa or hal batayen. Allah ap ko jaza day.

Ma baap se mashwara karna nikaah ke maamle me

Q: I am in a relationship with a guy. Uske parents mere ghar pe rishta le kar aaye the, but mere parents ne mana kar diya, kyu ke they think he is not settled and is not upto their class. After this he had started working more hard, and is trying his best to be perfect for me but mai apne parents ko kaise samjhau ke wo humara rishta kar de so that ke mai gunaho se bach saku?

Gunaaho se towbah karna

Q: Mera khayal he ke mein ne kuch gunnah aisay kar diye hain jo abi Jari hain jaisay mein ne apne kuch doston ko movies ke websites batai the, ab mein to movies nai dekhta. Wo ab bhe dekhte hain, to ab kia un ka bhe gunnah muje bhe hota hay aur ab ap muje batain ke mein kia karun aur kia yeh gunnah mein rook sakta houn?

Shaadi me pareshaani

Q: Meri mangni 2012 mai hoi thi jin se mangni hoi wo meray chacha ke betay thy ristha meray cousin ki pasand se howa hy meray abbu saudia mai rehty hyin chacha ne abbu se request karky mery mangetar ko saudia bhejdia woh 2 saal taak meray sa sudia k ghar pe hi rehy. Mangni kay baad woh kafi khush rehy hain lakin mangni ke aik saal baad unka rawiyaa bara ajeeb sa hogay unhonay ne mujhse baat karna bhi kam kardi phir baat baat pe larai. Meri shadi 2014 mai hoi shadi se phely susral walay buhat kuch dyty thay lakin shadi kay waqt unhone mujhay koi bari nahi di sirf aik sonay ka set dey dia  aur haq mehar bhi meray susar ne kafi khamoshi se fisad kia. Aur meray sohar kay dil mai yai baat daldi kay haq mehar ki raqam ziada hai. Khair shadi kay teen month mai susral mai rahi. Wahan meray sohar ka buhat kaam phone ata thaa meray liyai woh zida taar apnay ammi abbu ko karty thy mujhay meray ghar ruknay nahi deyty aur na pasand karty thay mai ziada phone karoun ghar. Khair 3 months baad shadi kay meray bhai aur abbu ne mujhay saudia bula lia abb mai abbu k ghar mai rehti hun apnay sohar k saath. Lakin mujhay apna sohar ka rawiya nahi pasaand. Woh office mai hotay tuo ghar pe baaat karty rethy hain pakistan. Ghar atty hai tuo bss aik room mai rehty hain aur ghar pe baaat karty rethy hin ya so jaty hain. Mera is baat pe jhagra hota retha hai 3 month hogay mujhy lakin bas meray ghar wallon ko bura kehnaa aur apnay har baat karna yai hi karty rety hain. Mufti sahaab unka koi paisa khurch nahi hota. Sab abbu aur bhai karty hain. Phir bhi buray hain meray abbu or bhai aur mujhay haar baat pe bura bolna larai karna meray cheray ko bura kehna aur pata nahi kia kia bolna. Mujhay office se aik phone nahi karty bas apnay ghar pe baaat karty hain mujhay acha nahi lagta aur samjh nahi ataa kay mai kasay samjhao?

Wazan kam karne me dushwaari

Q: Mai bohot ziada pareshan hun. Meri age 22 hai aur mera koi bhen bhai naeaur jb mai 8 sal ke the to mery father ke death hugaye the. Mai 5 6 saal sy weight kam kerny kay lye her diet her exercice aur medicine tk kha chuki hun bt mera weight kam nae huta please mufti mujhy koi wazifa batayen. Please meri aami mujhy her kuch din bt isi bat per bht marti hain kal mery neel par jatay hain isi wjha sy kay meri weight kam nae huta aur khati isi wjha sy meri shadi nae huge mai waqai bht pareshan hun. Please meri madad karen mai souchti hun mai apna ghr chor ker bhag jayen because woh mujhy bht marti hain mery weight ke wjha sy. Please mujhy jaldi reply karen.

Isaaee ku Islam ki da'wat dena

Q: Hamara ek group ha usmay ek christian b ha...hum roz gari may Islamic beyan sunte hain wo b sath he hota ha par ek din may ne waise us se islam or Christainty k bare may bt ki to wo kuch misunderstood kargaya ha mje uska ye msg aya muje islam yahan kya hukam deta ha plz ans it.... "Dekh bhai me kaafi dino se note kr raha tow mere mazhab k baray me galat malat bol raha or provoke krnay ki koshish kr raha ........ Us din gaari me bhi me tera mu dekh dia k chal dost hai lakin bc tu baz he nhi araha ...... Aj bhi tu class me yakiyaan lga raha tha ....... Salaya me tere mazhab ko kbhi discuss kia???? Ya kuch kaha kbhi???? Tu yahan parnay ata h tere liay behtar yehe hoga k tu wohe kaam yahan kre ........ Tjhy mere mazhab k baray me kakh bhi nhi pta na tu kbhi samjh ga ...... Us din gaari me bhi jo tune kaha Tauheen thi seedhi seedhi ........ Minority ho is ka ye mtlb nhi k tu kuch b kahe ..... Tere liay behtar yehe hoga k tu aenda is chez ko mad e nazar rakhee or aenda aese bgairtiyan na maare ....... Wrna mjh se bura koi nhi hoga ...!!!!!!!!!!!!! "

Shaadi me pareshaani

Q: Meri shadi ko saat saal hogay hai. Do saal pehly mein naraz ho ke ami ke ghar ai thi. Meri nand aur mera wata sata hai. Wo mujhse lari thi wo wahan aur mein yahan hoon. Mera bhai usko phone karta hai mere shoher ne phone nahin kia unki taraf se koi mujhe lene nahin aya. Uski behn jhot bolti hai aur jhot bol ke mere shoher ko door kia hai. Pehle wo mere baghair nahin rehty the. Ab kuch pata nahin. Uski behn ka ye irada hai ke mujhe talaq ho jaye aur wo bus jaye. Per mein nahin chahti mujhe unse bohat pyar hai mein chahti hoon ke wo mere paas ajaye. Please meri madad karein koi dua bata dein ke meri shadi na tote aur unko mujh per yaqeen ho meri qadar aye. Please help me.

Shaadi me pareshaani

Q: Meri shadi ko 2 saal ho gay hain mere shohar mere sath ache hain mgr ukni kuch baten mere ghr walon ko achhi nai lagtin bas meke ki taraf se choti choti baton par meri apne shahar se bht dafa narazgi ho chuki hai mgr mere shohar har bar mujhe sulah kar k ly jate hain or jane k bad mujhe tang bhi nai karte asal mai unka koi mustaqil kam kaj nai hai is waja se mere ghr wale mujhe ye kehte hain k elehdagi kar lo ye kbhi bhi proper kam nai kare ga or bahar k log waliden se ye bhi kehte hain k ye larka theek nai hai awara hai or mere ghr wale is bat par bht dar jate hain or kehte hain ye apko age zindagi mai tang kare ga lekin mera dil nai manta un se alehdagi k liye mai kiya karon kis ki bat mano? Mai bohot pareshan hon. Waliden kehte hain hamara dil nai manta ke aap us ke sath raho. Please meri help kar dijiye? Mujhe kuch samajh nai aa raha mai kis ka sath don? Apne ghar walon ki bat suno ya apne shohar ke sath chali jaon?