Naseehat

Ghayb ka ilm

Q: Aapko bahut meherbaani hogi. Mujhe aisa batadeejiye​ tha ke mere imthihaanon may pass ho saku? Mere imthihana khatam ho chuke hay agale insha allah 30 din may uske results aane waale hay mujhe bahut dar lag rahi hay pichle 2 martabh my fail ho chuka hu. Mujhe achi amal bata deejiye tha ke Allah meri amal se raazee ho kar mujhe pass karsake?

Sacha towba karna

Q: Mera aap say sawal ye hai ke insan ko kaisay pata chaly ga ke Allah nay us ke gunnah maaf kar diye hain waisay to main har namaz ke bad apny gunnahon ki mafi mangta hon. Or second ye ke main kafi time say job search kar raha hon lakin koi response arha hai so please us ke baray main bhi batain.

Rishte ku torna

Q: Mere liye ek rishta aya he or wo larka mujhe pasand nahi he lekin mere maa baap ko bohot pasand aya he or unho ne mujhe force kia he os se shadi karny ke liye. Men un ko mana nahi kar sakti kio ke pehlay kaii baar mene bohot se rishton ko mana kia istikhara sahi na honay ki waja se to wo log mujhse naraz ho gaye is liye men chahti hun ke un ke naraz hoye bagheyr ye rishta khud Tal jaye is liye muje aysa koi wazifa bataiyye aap ki bohot bohot mehrbani ho gi bohot ehsaan hoga.

Zamin ka problem

Q: Mein aapse madad ki guzaarish karta hoon. Maine apne saale to zamin ke silsile mein saath lakh rupaye ada kiye the paanch saal pehle, magar na hi unho ne zamin hamain di aur na hi paise waapas dene ka naam le rahe hai? Rizq ki bahot pareshani hain kyo ki kaafi mehnat se joda hua paise ada kiya. Aap pareshani ka hal batain inshallah.

Showhar owr biwi ke darmiyaan larai

Q: Meri shaadi ko 1.5 year hoo gayaa hay meri mery husband sey bohat larayi hotii hayy. Itnaa Kay mujhey khatay hay mery husband tumhay tumhari maa Kay chorr ayoo gaa. Ayk dafaa ammi kay rahnay gayii thii too leenay nahi arahay thay. Meri saas and susar nay kahaa jayoo lay kar ayoo? Actually hum donoo kayy mind nahii miltey. Eik dusrey ko hum dono apnay apnay tareeqay sey chalanaa chahteyy hay. Baar baar yehi dhamki Ammi Kay chor ayoo ga?

Haraam talluqaat

Q: Kuch saalo phailey mai kisi ladki se baat karta tha dosti ke tour pe magar wo ladki ko mujse mohhabath hogai or us ladki ne mujy boli ke ussey mujse pyar hogaya or fir mai ussey ye soch ke baat karna band kardiya. Mujy pata nahi tha ke ko mujse behat mohabbat karti hai or mai ussey ayk dam baat band kardiya or aaj aisa hi mere saath huva mai kisi ladki ko pasand karne laga or wo mujse baat karna band kardi. Mai usko bhot pasand karne laga hu or aab to kuch acha hi nahi lagta hai akela paan lagta hai rooz rota hu uski yaad mai subha mai uthta hu to uski yaad aati hai or raat mai thodi bhi neend aati hai to uski yaad aati hai. Or aggar vo mujy nahi mili to mai such mai pagal hojaouga. Plz meri madad karo taakey meri pareshani khatam hojaey. Plz allah k wastey. Mai roz sura muzzammil padhta hu or raat mai sone se phailey Aytul kursi.

Shaadi se pehle najaaiz talluqaat

Q: Koi mujhe bohot chahta hai. Us se mera relation bhi ban gya hai. Hum dono bahut preshan hai. Aap koi dua bataye ke hm dono ki shadi ho jaye mere maa baap kabhi tayiyar nahi honge kyuki wo khan hai hm log syed hai. Please hum relation ki wajah se depresion me rahne lage hai mujhe lagta hai meri shadi unse ho jaye ar ye batayiye ke hm unka rupya apne upar kar skte hai ya unka rupya mere liye haram hai?

Susraal ki taraf se pareshaani

Q: Meri shaadi mere khala ke bete se hue. Mere sasural me mujhe bohot pareshaan karte hai. Mere husband ko meri saas din bhar mere khilaaf bhadkaatii hai. Mujhse mere beti ko bhi cheen kar mere jeeth ko dere the, mere jeeth beaulad hai. Maine mana kiya to mujhe bohot mara aur in sab se tang aakar jab mere maa baap mujhe lene aae to unke saath bhi badsulloki ki aur mujhe hamesha ke liye maika chodne ke liye kaha warna talaq dene ki dhamki di. Tab mere sare mamu aur khandaan wale aakar mujhe apne maa baap ke paas legae aur mai ek saal unse alag hue. Phir waide karke mujhe sasural wale legae, phir se wo mujhe waise hi torchur karrahe hai. Mai apne husband ke sath alag rehna cahtihoun, saas ki sikaawat se door, mujhe yaqeen hai ke alag rehne se wo sahi hojainge inshallah.