Naseehat

Zina se tawbah karna

Q: Mene kitab me padha tha ke zina ek qarz he jo jesa karta he uske sath wesa hi hota he. Lekin hazrat agr kisi se naadaani me koi zina hua ho to kya tb bhi uske sath wesa hi hoga agrche wo shakhs toba kar chuka ho kiyunki mene bht sare aise qisse pdhe he ke toba karne ke bad bhi unhe apne zina ka qarz dena pda.

Maa baap se mashwara karna shaadi ke maamle me

Q: Mere bhai hai jo 24 years ka hai unmarried. Hal jaldi janna chahte hain hum. Ek larki jo mere bhai ke sath parhti thi woh bhai se shadi karna chahti hai or usey behadd pasand karti hai 7 years se. Hum har tarah ki koshish kar ke dekh chuke hain k us ki yeh pasandedgi khatam ho jaye magar mufti sahab woh larki to bilkul dewani hoti ja rahi hai sab log kehte hain ke agar us ki shadi na hui bhai se to woh pagal ho jaye gi. Aisey me mere bhai ke liye kiya hukum hai usey kiya karna chahiye? Larki khud achi hai pehle kuch ghalat aadaten thin us ki itna strickly follow nahi karti thi islam ko or mere bhai ko is hi baat per issue tha magar ab to namaz roza bhi karti hai follow karti hai islam ko. To ab mere bhai ko kiya karna chahiye kiya us larki se shadi karni chahiye? Agar nahi karta shadi or us larki ko kuch ho gaya to kiya is ka gunnah mere bhai ko mile ga? Woh larki pehle bhi bohat dafa suicide attempt kar chuki hai magar Allah ka karam se bach gai hai or is hi baat ka darr lata hai ke kahin usey kuch ho na jaye or gunnah mere bhai ko mile. Please aap se request hai ke is masle ka haal bataiye hamari rehnumai farmaiye hum sab bohat preshan hain ap ka bohat bohat shukriya.

White colour ka light dekhna

Q: Main india ka rahne wala hun, sir mera sawwal yeh hain kee kuch din see mere sister ko room main white colour ka light dekh rahee hain, usne sab see kaha magar koi yakeen nahee kiya uskee umar 20years hain. Kal acchanak mere maa nee bhee wo white light dekhee too wo dar gayee humene sab jagha dekha light ka koi source nahee thaa band kamrre main Windows mee phee parda laga thaa. Please give me ur reply as soon as possible.

Biwi showhar ki baat maanti nahi

Q: Meri shaadi ke teen saal hon gaye who apne ghar main rahti hain wo job karti hain wahi. Us ka transfer hon sakta hain wo karati nahi hain wo mere ghar main nahi rehna chahti hain. Main har koshish kar li. Nahi manti main kehta hoon mere sath nahi rahna tho mujhe likh kar dee doo khula le loon. Kehti hain talaq diya tho case kardungi. Mere khane pene nfsani jindagi main dikhat aarahi hain. Meri maa bimar hain us us par bhi taras nahi. Main kya karu meri islah kare. Use meri koi aulad nahi . Mera khane pene ki jimadari lene wala koi nahi or wo apne ghar main that se rahti hain. Mere ko rasta bataye talaq kaa.

Kisi ke upar ilzaam lagaana

Q: Agar koi shaks koi gair mehram se messag kare aur na to wo usko dekhi he aur na uski aawaaz suni he, magar ladke ne dawa kiya ke usne us ladki ko Dekha he aur wo ladki shaitan ke behkaawe me aa kar us ladke se msg karna Shuru kar di. Wo ladki sirf itna janti thi ke wo ladka uski ek saheli ka bhai He aur wo uske baare mein kuch aur khabar nahi janti thi. Wo dono chat to Karte the aur ladka ye dawa karta tha ke uski behen ye sab kuch nahi  janti He halanke wo uski behen ko kehta tha ki mai teri frend se msg karta hun Magar ye ladki us baat se nawaqif thi jab us ladki ko ye malum hua ki wo Sab kuch uski saheli ko malum ho chuka he aur sab ko wo bolti phir rahi he to Us ladki ne badnaami ke dar se ye saara ilzaam apne khaleri behen ke upar Daal diya jo behen us ladki se bahut hasad rakhti thi. Ye sab mamla hone k Etakreeban ek saal baad usne ye jaana ki bohtaan lagana kitna bada jurm he Aur iski saza bhi quraan mein wazeh kar di gayi he. To kya us ladki ko Bohtan lagane ka gunah laga he aur wo khaleri behen ye sab waqiq nahi Janti, ye sab kuch wo ladki he janti he, aur to koi ise nahi jaanta. Wo Apne is gunah par sharminda he. Tauba karti he. Zindagi baki rahi to Hattal amkaan koshish karegi har ehkaam e ilahi ko maan kar chalne ki. Please Koi hal batain is problem ka. Uske walidain ko tak ye sabb cheezon ki khabar nahi He magar wo ab apne aap ko sudharna chahti he. Wo kya kare.

Sila rahimi

Q: Mujhe mehrbaani kar ke ye bataye ke agar koi rishtedaar baar baar binawajah hum par ghalat ilzaam lagaaye aur aaye din sab ke saamne galiyan de zalil kare to us rishtedar se milna chahiye ya use hamesha ke liye chor dena chahiye?

Zina se tawbah

Q: Agar koi shaks ne apni choti umr me zina kare aur wo ab itna bada ho chuka he aur itna iln usko hasil ho chuka he jisse wo jaan sake ke zina kitna khatarnaak gunah aur uski had quraan o hadees mein allh ne khud farmai he aur usko yaad nahi uski umar us waqt kya thi,,,magar itna yaad he ke wo uske baaligh hone se pehle hua tha aur wo ab ye nai tai kar pa rahe hein ke kya usne jab zina kiya to kya wo us waqt baligh hojate hein (ehkaam e buloogat ke lihaaz se) aur ab wo apne gunaah par nadim he aur wo jante hein ke zina ki saza 100 kode he aur wo is raaz ko abhi tak chupae hue he..aur na to wo aisi  jagah mein rehte hein jahan in hudood e sharieya par amal hota he...magar wo sachi pakki tauba karke apni zindagi aage allah ke ehkaam maan kar chalna chate hein to kya hukm he unke liye?