Nikaah se pehle larki ke saat baat karna
Q: Mai agar kisi se pyaar karta hun to usse baat kar sakta hun?
Q: Mai agar kisi se pyaar karta hun to usse baat kar sakta hun?
Q: Mujhe susti aur neend bahuthh badhti jaa rahi hay aur ek waqth ka Namaz ki toufeeq bhi nahi mil rahi hay. Mera padhaayi may bhi my concentration kar nay paa raha hu. "Kuch aisa amal bata dee jiye ke my Namazi banu aur Deen aur duniya may kaamiyaabee paa saku". Iss gunahgaar bande ke liye thoda dua kee jiye hazrat.
Q: Biwi ki zina ki saza maaf karni chiya
Q: Kya hm rishta talash krne k lie matrimonial sites ki help le skte he kya unhe amount dena jaiz hoga yaa sirf dua hi krna behtar he.
Q: Mere shaadi ko 21 years ho gaye. Mera 20 years ka beta aur 16 ki beti hai main ek Alhamdulillah deendaar aurat hoon. ghar ka maahol aur bachchon me aur shohar me bhi deendari hai.Mera ek ajeeb masla hai jis ki wajah se main bahut ziyada pareshan hoon.Shaadi ke 21 saal se mujhe in sab baaton ki aadat hai lekin aaj kal bahut kuch bardasht nahi kar paati.Sehat bhi sahi nahi rahti. Mere shohar ka mizaaj saqt hai jo mere liye aadat ban chuki hai.lekin din ba din haalat aur bi bura ho raha hai.Bina wajah mujh se gussa ho ke 3-4 din baat nahin karte kitna bi koshish karoon nahi maante,aisa mahine me 4-5 baar karte hain.ghar ke bahar ki pareshani ho to bhi aisa karte hain.mere baare me kabhi bhi achchi baat nahi karte,mere taraf muhabbat se dekhte bi nahi.Khbhi bi mere takleef ke baare me nahi samajhte agar kuch bi kehne ki koshish karoon to mujhi per baat pher dete hain.mujhe in sab ki aadat hai lekin main janti hoon ki shohar ka martaba bahut bada hai agar wo khush nahi to main jahunnami ban jaaongi maine dunya ki zingagi ko kabhi bi ahmiyat nahi di mera pehla maqsad mera aaqirat hai mere shohar ke rawayye ki wajah se mere dil me unke liye muhabbat kam hota jaa raha hai main kuch bi nahi kar pa rahi hoon siway Allah se dua ke. agar aisa hi chalta raha to mere ibadaton ka,mere aaqirat ka kya hoga? kyun ki agar shohar naraaz to main waise hi barbad hoon.to main kaiser is masle ko handle karoon?bewajah shohar ki naraazgi bi nahi chaahiye aur mujhe meri aaqirat mukammal tariqe se banana hai.Ab in sab ki wajah se ibadaton me kotahi ho sakti hai aur mujhe bahut pareshan karti hai ke shohar hi raazi nahi to Allah mujhe nahi bakshega.maine mere shohar ke liye jo bi qurbaniyan di hai Allah jaanta hai. Mufti Sahab aap naseehat kijiye ke main meri aaqirat kaise banaaon main shohar ko to nahi badal sakti.
Q: Ma aik do din sa bara parashan ho payoneer aik online bank ha online work ka paisa is ma log transfer kar k mangvata ha mana jab account banan tha tu muja waham ho gya k is ki term of service ma koi galat bat na ho jo accept ho jai mana term of service ko dekha bi lekin phir bi shak raha term of service english ma thi jaha tak ho saka mana un ko para lekin muja koi asi bat nazar nai ayi jis ka muja waham tha mera causin na wo account apna nam pa banaya lekin muj ab ya kheyal a raha ha k muja is bat ka shak tu th ya waham tha mana usa kyu kaha k tum account banao agar us ma koi galat bat nikal ayi ya unho na apni term of service change kar di bad ma koi galat bat dal di muja ya kheyal a raha ha k mana us ko ya kyu nai bataya k muja is bat pa shak ho raha ha k mana us ko roka kyu nai hum na is account ko istemal nai karta kya us ko ma kaho k muja asa lag raha ha k mera sa koi galti ho gai ha kya us ko ya bat batao ya sirf ma hud Allah pak sa tauba karo us ko mana ya kaha h k yar account delete kar da ga hum istemal tu karta nai is bat ka pata nai k us ma kya term of service ha .
Q: Hum jab be koi website pa sign up marta ha tu us par I accept these term and condition click karta ha lekin terms ko parha nahi. agar terms ma koi galat baat likhi ho aur hum accept kar da tu kya hum ko gunnah ho ga?
Q: Me apne ghar k paas aurton ko kuch imaan aur namaaz k baare me btana chahti hu kiunki hmare nabi ne farmaya hai ki agar aap ko deen k baare me eik b aayat pta hai to us ko aage phunchao, lekin yhan k mard muje mna kar rhe hain aur bhut saare bhane bta rhe hain plz muje btaao ki me un se kya kahun ki wo muje na rokain.
Q: Bandi ka ek aur rishta aya hua ha, rishtedar hain door ke lekin terms bohat ache hain aur bandi unk ghar jati ha wo log bhi hmare ghar ate hain.. shareef log hain, valid sb ka kehna ha k 50 saal se jante hain inlogo ko.
Larka hafiz e Qur'an hai , MBA kiya hua ha . aur unk valid ka business hai well off hain, unka bas ek hi beta ha , aur koi aulad nahi unki.
Masla yeh hai ke wo log sharayi parda bilkul accept nahi karhe. aur bandi sharyi parda karti hai . unka joint family system nahi hai lekin larke k do chacha alag alag floors per rehte hain ek hi ghar me . bandi ko smajh nai araha k bandi kia kare kese sharyi parda utar de aur iske ilawa samne aur koi rishta nahi hai.
Bandi ki do jaga mangni hokar khatam hochuki hai,dono dafa unknown me hui thi, bad me maloom hua k gher muqalladi hain isly wahan mangni khatam kardi.
Bandi k ooper bohat mushkil waqt agaya hai. Aap mashwara dijye bandi kia kare aese waqt me.
Q: Mera sawal ye he k islam me aik aisi aurat k liye kya hukam he jo banjh ho mard ko aulad na de sakti ho our phir zid kr khawand ko majboor kia ho k dusri shadi shoher na kre..aisi aurat ko mazeed nikah me rakhna theek he ya nahin?