Naseehat

Marital problems

Q: Meri umer 54 hay aur meri wife ki umer 41 hay. Meri biwi bagher kisi saraye uzar k mujh ko hambistri say mana karti hay k aap apni umer dakhayn aap ko to roz chiye. Bachay baray hogay hayn (Meri ek bachi ki umar 13 sal dosray bachay ki umr 11 sal aur tesray bachay ki umar 5 sal hay). Jab k bachay apnay room may sotay hayn chota bacha hamaray sath so ta hay. Biwi rat ko room ka darwaza band nahi karti k bachay kia sochayn gay. Hambistri k time mukhtlif bahanay banati hay ye monh banati hay. Kia en chizo ki Islam ijazat dayta hay? Jab k may apni biwi aur bachon k har haq pura karta hun. Mujh say ye bardasht nahi hota mujhay dar lagta hay k may kahi zina ki taraf na chala jao ya musht zani na karnay lagon. Kia aiyse aurat ko talaq da di jay? 

Na munaasib baate se ijtinaab karna

Q: Mara sawal ya ha k meri beti Sapara Perti ha online tu ajj wo school sa wapis ayyi tu ma ny usay kafi dafa parnay ky liya kaha tu uss ny nahi para phir jb sham huiyi tu ma ny kaha (k ma boonk boonk ky thak gayi hon or ab tu boonknay ka time nahi ha) ma tb sa bari prashan hon maray dil mein khayal aa raha ha k Naouzbillah ma ny Saparay ko tu nahi keh diya aksar mujy aisa lagta k main baat kerti hon tu uss ky baad mujy khayal atta ha k ma ny ghalt kh diya ha mara eman o nikah mein koi masla tu nahi ho gaya?

Premarital relationship

Q: Meri umar 21 saal hai, ma 16 ki thi to meri ami ny mere rishty ki baat ki thi jis par mane mana kr diya k ma os larky sy shadi nahi karon gi lkn ami ny yeh keh kr ignore kr diya k or kis sy krni ha tumne. Lkn hum 4 behno k rishto ki baat chali thi jis par ami abu ma aikhtlaaf thy. Baat wohi chod kr meri family abroad aagai. 5 saal hum abroad rhy or 5 saal jab jab baat hoi mane ami sy apni razamandgi zahar nahi ki balky yehi kaha muje nahi krni, or ami muje daant deti thi. 

2 saal pehle Facebook py muje aik larka psand agya or mane rah fraar k liye os sy dosti kr li. Or wo b qafi interested ho gaya jis waja sy mera interest b bar gaya. Oski nisbat b teh thi or meri b lkn meri trah wo b os larki ma interested nahi tha baqool os k. Humne sab teh kr liya k hum shadi ki pori koshish kren gy. Wo b abroad hota ha lkn different country ma. Osne aik 2 dfa apny ghar bat chalany ki koshish ki lkn mane mana kr diya ma chahti thi hum aik dfa mil len ta k bad ma msla na ho. Lkn jab ma Pakistan gai to mera nikah teh ho chuka tha or wo larka jisy ma psand krti hu wo abroad hi tha. Mere ghar k halat asy thy k ma dar gai thi or kabi kisi ko btaya hi nahi mane larky ko kaha wo Pakistan aye to ma bat karo gi lkn bohat der ho chuki thi or os k mutabiq os k any sy srf halat kharab honge ma b waqaf thi apni family sy nahi many gy bohat hangama hoga ma b chup kr gai.

Mane nikah rokna chaha apni ami ko bola k jab shadi hogi tab hi kr ly gy lkn wo kehti nahi tumhary Abu nahi many gy. Mere waldain aik sath 4 behno ka nikah kr k farag hona chahty thy. Mane chup chap nikah kr liya yeh soch k k yehi hona tha or itfaqan muje os din kuch mehsos b nahi howa, mere liye aisa tha k aaj k din ki yehi requirement hai k ma nikah pharo or ma apny waldain ki nrazgi sy itna darti hu k mana krny ka swal hi nahi tha mere zehn ma. Or jis larky sy howa wo bura nahi is liye ma mutmaen thi. Lkn nikah k din sy aj 2 months ho gaye ma osy dil sy as my husband qabol nahi kr pa rahi. Wo mujse 2 saal chota b ha or rishty ma mere chacha zaad bhai ka beta. Umar or rishta dono ma muje sy chota hony ki waja sy mere liye yeh bat bohat mushkal ha k ab ma osky nikah ma ho. Dosra ma nikah k 1 week bad wapas abroad aa gai thi or waqt k sath sath muje ehsas ho raha k muje nikah nahi krna chahiye tha qk ma abhi b dosry larky k bhary ma hi sochti hu. Ma nahi bhol pa ri bohat mushkal ma ho college jati hu lkn study ki tarf tuwaja nahi kr pa rahi har waqt aik hi soch ma ho. Os larky ki b shaid shadi ho jaye next year yeh bat brdsht krna mushkal ho rahi. Ma hud sy tang aa chuki hu, osy bholny ki koshish kro to jis sy nikah howa wo yad aa jata to phir wapas apni psand ko sochny lagti hu. Meri zindgi jasy ruk gai ha. Ab muje fikar hony lagi kahi muj par koi jadu to nahi ho gaya. Please meri madad kry.

Premarital relationship

Q: Me aik larki k sath relation me hn. Hum log 4 years say aik sath hain me peechly 2 saal say Pakistan say bhr hn. Jab me Pakistan me tha to sub kuch thk tha magar jab say yahan aya hn to Sheytan kay hamlon aur apni galtion ki waja say us larki ko bina kapron k daikh chuka hn me sachy dil say usky sath shadi karna chahta hn magar ab masla yeh ha k meri abhe 1 bari behn ki shadi ni ho rahe is waja say me rishta ni bejh sak raha aur jis larki ko pasand karta hn wo bht jazbati larki ha wo aik so suicide ki koshish bhe kar chuki ha. Wo larki ameer gar say ha aur jab bhe shadi ki baat hoti ha to wo mehngi chezon ki he baat karti ha jab k me aik middle class gar say hn aur wo chahti ha me apny gar walon ko chor k usky sath kahen akaila rahn jo me nahe kar sakta. Ab me agar us say alag hota hn to wo khud ko maar lay ge aur agar sath rehta hn to shayad uski zarooriat puri na kar sakn aur jab tak sister ki shadi nahe hoti tb tak rishta bhe nahe bejh sakta. Meri rehnumai farmaen me kya karn me us say shadi karna chahta hn magar kuch samajh nahe arai kya karn?

Premarital relationship

Q: Mujhse zina ka gunah hogaya hai... main 21 saal ki ladki hoon, mere ek cousin ke saath mujhse kai baar zina hua hai... main muhabbat me yeh gunah karti chali gayi, lekin mujhe yeh ehsaas hogaya ki yeh sab ghalat hai... mujhe unse aur unhe mujhse nikah karna hai, unhone mere ghar pe rishta bhi de diya hai... lekin mere gharwale raazi nahi hain... maine bohot koshish ki magar raazi nahi ho rahe... aur main un dono ko sach bhi nahi bata sakti... aur wo log meri kahin aur shadi karna chah rahe hain jisse ki meri zindagi barbaad hojayegi... maine Allah se bohot maafi maangi aur mangti hoon... aur mujhe nikah us cousin se hi karna hai... kya main istekhara karke positive signs aaye to apne maa baap se kehdu ki maine Allah ki marzi jaan li hai... ab aap log bhi maan jayein... yehi ek raasta dikh rha hai ab kyuki Allah ka naam aane se wo log zaroor maanenge... Lekin bas dar is baat ka hai ki kahin negative signs aagae to... Ab to sirf pasand nahi meri majburi bhi hai us aadmi se nikah karna... iska kya hal ho sakta hai? maine Allah se bohot tauba karli hai ab kuch samajh me nahi aa raha kaise apne ma baap ko raazi karun... un dono yeh rishta bilkul bhi nahi pasand magar ab yeh meri majburi hai...

Marital problems

Q: Meri shadi ko 2 saal hogye hn or mera ak beta hai ak saal ka. Mere shohar shadi se phele hi ak shia ladki se milte the 10 saal se us se talluk rakha huwa hai. Parents ki zabardsti se mujhse shadi to karli lakin ab wo mujhse koi talluk nhi rkhte. Wo larki unko force krhy hai k mujhe chohr de wo. Lakin apne parents k dar se wo mujhe nhi chohrte. Mre susral wale b unko kuch nhi kehte q k wo unse b battamizi krte hn. Mujhe mera koi haq nhi dete. Or us larki se har tarhan ka relation rakha hua hai. Mujhe bataen k me kia karon. Kia me apne shohar ko chohr don?