Naseehat

Bimaar bachcha ka naam badalna

Q: Mera beta 25 September ko hua Hai us ka Nam hum ne Muhammad Azaan rkha Hai us k baba ka Nam Nadeem Ashraf Hai wo thek nahi rehta dood maa ka to peeta hi nahi 1 month or 4 din ka ho gya Hai dabby ka dood pee kr b vomiting kr deta Hai rota bht Hai or sota b Kam Hai Kya ye Nam us k liye bhari Hai ya koi or masla Hai

Marital problems

Q: Mera nikaah hova ha ruksati nhi hovi me ne apni bivi ko kisi ar k sat sekha ha pics dekhi ha us ki galt kam kerty hove mujay keya hukam ha Allah ki terf se me keya ker sakta hn chor do ya maf ker do dobra ka paka wada kya ha us ne mujay umed ha wo mere sat chle ge meri bat mane ge

Shaadi ke liye maa baap se baat karna

Q: Mai bohat pareshan hu..mera rishta bachpan me mere dada ne mere phupu k ladke k sath fix kie the...to isi wajah se main aur mere phupu ka ladka ek dusre se baat karte the..wo america chale gae..fir b hum baat karte rehte the...wo mujhse wada kare the k mujhse hi shadi karenge...par unke maa baap mane nhi..aur unki shadi karadie wnha...mujhe nhi samaj araha k mai kya karu..wo kehte hai k phn pe nikaah karlenge ab..badme sabko batadenge.mai kya karu...ap mujhe sahi rasta kya hai bata dijie

Biwi se apna bistar alaahidah karna

س: میں ایک شادی شدہ مسلمان مرد ہوں اور الحمدوللہ میرے دو بچے بھی ہیں۔ چند ماہ پہلے اپنی ذاتی فیملی کے چند معاملات کی وجہ سے میں اپنی بیوی سے خفا تھا جس پر میں نے اپنی بیوی سے بستر علیحدہ کر دیا اور بول چال بھی محدود کر دی تاکہ وہ اپنی اصلاح کرے مگر اس کی بجائے مجھ سے لڑ جھگڑ کر بچوں کو مجھ سے چھین کر اپنے والدین کے گھر چلی گئی۔ میرا آپ سے یہ سوال ہے کہ اگر میں اپنی بیوی کی کسی غلطی کی وجہ سے اُس سے اپنا بستر علیحدہ کیا اور اُس سے بول چال بند کی تو کیا میرا یہ عمل غیر شرعی تھا اور اُس پر ظلم کرنے کے مترادف ہے؟۔

Shohar Talaaq nahi dena chahta he

Q: Meri Sadi ko 8 sal ho chuke Hai Mai apne husband se 6 sal se alag rah rahi hun apne parents k Ghar par. Mai apne husband se khula Lena chahti hun. In 6 salo Mai husband se Koi bhi contact and khrcha nhi liya Hai Hai lekin fir bhi vo khula nhi Dena chahte bol rahe tumhe jindagi bhar isi trah presan krta rahoga... plz mujhe koi Rasta bataye

Pareshaani ke liye ilaaj

Q: Meri shaadi hokar ek saal hua. mai aur mere shohar me bahut ziyadha mohabbat thi.humare Saas Sasur hum dono ki mohabbat se na khush the.kuch na kuch kark Saas Sasur humare shohar k dil me nafrat dalne ki khoshish karte the but .mere shohar ko mere upper bharosa tha maa baap ki baton me nahi aate the.. Abbi mai apne waliden k ghar aake 2 months hua .. Pregnant hone k liye mera ilaj chaleko tha.. Doctor ne pregnant hone k liye 10,000 mg ka injection diya Usk 3 din mai bahut sust hogai meri halat bahut kharab hogai thi chalne b nai hota tha..aise me meri Saas mujhe kaam karne k liye torture kar rahi thi..but mere shohar mujhe rest me raho kark bole..maine Saas se kaha meri ammi k ghar chodo 8 din k liye mai tabiyat achi karleko aatiyu..to Saas aur saasur ne mile kar mujhe per ghalat thomat lage mere shohar k saamne bole mere shohar naraz hokar mujhe dosre din lakar mere walidain k ghar chodiye ..mujhe tabiyat sudhar ne 15 se ziyadha din hoge chalne ki b Kabil ki nai thi.. Aise me mere shohar akar achanak mujhe per gussa hone lage ghar chal nai to mai tumhe talaq dedunga kark.mai boli mujhe thoda time diyo sudhar ne mai sirf bed rest me hu..mai sasural aatiyu karko boli to mere shohar b maanliye ..phir kuch din baad achanak zewarat hona kai wo bank me rakhe to interest aata kark bole ..maine kaha ek baar badhon se b pucho to mere shohar gussa me aakar chalgae Usk kuch din madersa me arzi diye k mai kise ladke k saat hu mere walidain b shaamil gain ..a log bahut character less admiyan gain mai meri biwi se chutkara chahtu kark bole ..mufti ne kaha k ilzam to lagaya isse sabit karo kato abbi tak sabit karsake ni...mere shohar k saat un k walidain b aae the..ab mere shohar sirf ek hi baat bolren k mai isse chutkara chahutn karko ..halank mai sirf mere shohar k siwa kise saat b nai phirti thi.Mere shohar khud janten k mai perde me rahtiyu unk ilwa kisi ko dekhti b nai karko..Mujhe nai samjh me aara achank se mera shohar Jo mujhse. Ittni mohabbat karte the.. Aaj mujhe ilzam kaisa lagren aur mujhe se chutkara chahren ..kya hua mujhe se ittni nafrat samjh me nai aara k mai kya karu mujhe yakeen hi nai hora a mera shohar bolren karko ..

Tezi ke saat baat karna

Q: Agar kisi ka mizaj gussel ho kyuki uske khandan mai baap dada wagerh bhi garam mizaj the lekin akhlak ke ache hai magar kisi se conversation mai haq baat kehne mai alfaz tez niklte ho thoda gusse mai bolte ho to aisa insan kaha tak galat hai ya kaha tak sahi hai or galat hai to is fitrat ko kaise badle ..

Har cheez ki qadar karna

Q: Mujha pata ha mana bohat likh dia lakin ma kisi sa apna masla khol ka share chata tha Ma ap ka jawab ka muntazar ho

Mari walida ko aj sa 13/14 sal pahla cancer ho gaya jin ka ilaj bhi karwaya aor aon ko sahat bhi mili lakin koch wajohat ki wajha sa ham ragula chack up ya falow up na karwa saka (aos waqat ma 6 sal ka ab ma 18 ka ho) Jis wajha sa 4 sal pahla dobara cancer ho gaya hum na phir ila karwaya lakin cancer 1 jagha sa khatam hota to dosri jagha nikal ata phir hum na kisi alim sa rabta kia (aos waqat mara jado wagara pa yaqin na tha aor ghar walo ko bhi nahi tha) khar aonho na huma bataya ka koi jado karta ha mari walida pa hum na aon sa dum karwaya to arazi tor pa aram ajata lakin jab jado dobara hota to phir tabyat kharab ho jati ilaj aor dum ka silsala chlta raha aon alim ka intaqal ho gaya to hum na kisi aor sa rabta kia phir kisi aor alim sa aor phir kisi aor sab ka yahi kahna tha jado ha lakin ab is jado ka masla par koch kami i ha lakin wo shaks jo jado kar raha ha wo apni pori koshish kar raha ha Ap janta ho ga ka cancer ka ilaj bohat mangha ha laki Allah na huma waha waha ata kia ha jaha hmari soch bhi na thi lakin mukamal sahat na di mari walda bhot kamzor ho gai han aj sa phala jitna bhi waqt gozra asihalat nahi hoi is ka sath wo bohat mauos bhi ho gai han wo jina to chati ha lakin dard aor bimari ka is tawil arsa ki wajha sa moot ki talab karti ha

Ma aor mara gahar wala Allah sa har tarha sa dua kar choka han bohat wazifa kia han lakin mukaml sahat nahi mil rahi Mari halat bohat bori ho choki ha ma bohat mauos ho Allah sa mangna bhi chor dia mujha pata ha ya galat ha lakin.! Hum sadka bhi karta han aor zaqat bhi kisi ki madad ho to apni aokat ka mutabik madad bhi karata Ap batyan mari walda kya sahat ki mustahiq nahi aonho sari zindagi taqlif ma bita di kya aon ko apni aolad ki koshya dakhana ka koi haq nahi mujha pata ha akhrat ma aon ka lia bohat acha ha lakin jis aolad ka lia wo zinda rahi bimari ka ba wajod har zarorat pori ki kya aon ki koshya dakhna ka aon ko koi haq nahi Hum kis tarha Allah sa manga Allah kahata mara ajzi mango ma do ga to huma kyo nahi data Mujha pata ha mana bohat likh dia lakin ma kisi sa apna masla khol ka batana chata tha Ma ap ka jawab ka muntazar ho