wife

Biwi ki na jaaiz ta'alluqaat

Q: Meri bv k najaiz taluqat thy 1 larky se jo mene khud rangy hatho pakra, mery 2 choty bachy hen,meri bv ne mujhsy wada kiya k ayenda koe talluq nahi rakhogi us larky se mujhy sirf 1 moqa dedo, mene bv ko 1 moqa dediya, magar wo ab bhi us larky se sms me chat kerti hai, jiska saboot mery pass hai, me ab kiya karo ? me apni bv bacho ko nahi chohrna chahta, magar ye sab bhi mujhsy birdasht nahi hota, me rato ko uth k roota hon, khowab aty hein k meri bv ne ussy shadi kerli, jab k meri bv mujhy bolti hai me apsy kabhi alag nahi hogi, me bv k azdawaji taluqat theek tareeqy se poory nhi kerha tha usko time or piyar nhi deta tha, but ab bohat ziada care kerta hon, magar phir bi wo ab sms per bat kerti hai us larky se, me kiya karo ?

Na farmaan biwi se kya kare?

Q: Agar koi aurat bht zaban ki taiz ho apny shohar ki izzat na krti ho her waqt shikwa krti ho kbhi ALLAH ka shukar ada na krti ho. apni zimaydarion ko sahi sy na nibah rhi ho or ghussay mn kufar kalmat bhi bolti ho k mn ap ko shohar hi nhi manti. to aisi aurat ko talaq dena chahye ? sharyat aisi auratk bary kia hukam deti hy ?

Biwi ke zina karne ke ba'd saat rehna?

Q: Mera ek dost he, uska nikah 8 sal pehle hua tha, nikah k 5 sal bad uske badhi mannnato se ladhka peda hua, bchcha 1.5 sal ka ho gaya or uski maa, mere dost ki biwi ko ashiqi ka bhukhar chadha, wah uske walid ke ghar aksar milne jaya karta thi, or kuch din rukti bhi thi., uske walid ke ghar rehkr usne kisi ger mehram se talukat kayam kiye or hamila bhi ho gyi, bad iske jab uska shohar usse lene gya to unke samne us ger mehram ke sath bhag gyi, or 24 gante bad bhagte huye pakdhaye, pakdhane ke baad uske walid us ladhki ko uske gar le gye, mere dost ne talaq ki ichchha jahir ki par rishtedaro ne chalne nhi diya (us bhagne k mamle ko ranjish bata kr niptaya gaya) or use us waqt is haram kari ke bare me nhi bataya gya, mere dost ne uske bachchhe ki khatir us ladhki ko maaf kr diya, jab mere dost ki biwi uske ghar aayi to 15 din achchhe se rehne ke baad usne natak chalu kr diye, or uske shohar ko sari bate quran sharif par hath rakh kr sab bata diya, uske shohar ko sab pata chal gya, or wah us ladhki ke sath nhi rehna chahata, or ladhki bhi nhi rehna chahti, ab masla ye he ki us masoom ka kya hoga, uska baap use rakhna chahta he, or uski maa dena nhi chahti, baap ko pata he agr ladhki bachcha le gyi to us ladhke ki zindgi tabah ho jayegi... ab bataye kya aesi aurat ko nikah me rakhna sahi hoga wo bhi bachchhe ke liye, ya talaq de diya jaye? agr mera dost sabr karta he to use kya azar milega,? aur agr aesi biwi ka katal kar de to gunah hoga???