Qasam owr mannat

Qasam khaana

Q: Kya islam me Allah ki kasam lena ya kisi ko dena sahi he? Quran or Hadis ke hawale se bataye or barahe meharbaani Quran ki surah no or aayat no/ hadees ka naam or hadees no bhi bataye.

Qasam khaane me shak

Q: Me ne Allah par Qasam khaya tha ke aur ek baar gunnah nay karoonga bolke n mujhese oh gunnah huyi thi n phirse my khouf se ya Allah tere aur mere beech kya qasama nay hay mujhe maaf kar mujhe malum nay hoke qasam khaya tha bolke dua maanga tha kya a valid hoga  ya qasam aisahi rahega?

Qasam towrne se kaffara

Q: Mien ne asar ki namaz  parhne ke baad Allah se wada kiya ke mien aik month ciggareete nai pyonga aur agar ciggarrete smoking ki to mujhe Allah  bhut bari bemari de ga for example cancer. Aur mien ne teen din baad qasam tor di ciggarrete pe lee. Aise qasam mien pehle bhi le chuka hon aur tor  chuka hu. Mien kya karon? Please help me.

Qasam towrne ka kaffara

Q: Main ne apni behan aur bateji ka school main dakhla Kia tha. Woh dono school Jana nahi chahti thi. Main ne ghussey main kasam kayia ke main dobarah dono ke saath school nahi ja wongi. Main ne Allah ya rasool ki kasam nahi kaye thi. Main ne kaha tha main kasam se saath nahi ja wongi. Ise kasam ka kia kaffara hai?

Qasam khaana ke bahar se khana nahi le ker aunga

Q: Mere husband ek din baahir se dinner le ker aae, jis pe main naraaz hogae and maine kaha ke kia zarurat thi fuzool kharchi kerne ki, jis pe mere husband naraz ho gae and ghussey me kaha ke " Allah ki qasam ab me kabhi bhi bahir se khana nahi le ker aunga". Thori der baad un ka ghussa khatam ho gaya. Kia ye qasam ho gae hai? agar ho gae hai to kia iss ke tootne per iss ka kaffara dena parega? Agar dena parega tou kia hum kisi ghareeb and zarurat mand ko paisey de sakte hain? Agar de sakte hain to kitne dene honge?

Mannat ku bhool jaana

Q: Agar koi shaks bahut zamana pehle kisi kaam ke poora hone ke baat fulaan kaam karne ki mannat kare aur wo kuch arse ke baad ya saalon baad
poora ho raha ho aur wo usko uski mannat shayad yaad nahin he ya wo aisi mannat thi jo sharan jais nahi jaise ki agar fulan kaam ho gaya to fulan kaam karungi jaise islam me he ke agar apne paas maal ho to use jais nahi ke wo kisi ke dar pe jaakr bheek mange, to ho sakta he wo aisa na kar sake ya usko mannat yaad nahi to ab aise mein uske liye kya hukm he?