Qasam owr mannat

Wa'dah lena ke rishta haraam he

Q: Mere husband se akdin mere jhagre ho gaye. Gusse aur dukh mai maine khudse wada kar liya ke agar mai khud unke pass/karib gayi to humare rishte haram ho jayegi. agar mai unki pass gayi to kya humare rishta haram ho jayegi? Aj mujhe meri galti ki ehsaas ho rahi hai. Mai bohot sarminda hoon. Kyunki aksaath rehte huye ak dusre ki karib ana parti hai mai kya karu mai unki pass jana chahti hoon.

Qasam torna

Q: Mera question hai k quran per past k liye qasam uthai hai k main nay ye kaam nahi kiya us ka kiya kaffara hai? Kaam ye tha k family main meri aur meri jethani ki bhabi ki appas main chatting thi jis main us nay apni naand (nida) k baray main batya tha k wo todri mentle hai hamay marti hai jo k such hai, puri family janti hai.ab un kay ye baat pata chali tu wo kehti thi k app se baat un k susral puhnchi aur us ka ghar kharab huwa,jub k wo ladrki(nida) apnay susral main bhi gandi galiyan di apnay susral waloo ko ghareebi k tanay diye jis ke baad wo us ko ghar na laye.apnay ghar main bhi wo apnay baap tuk ko maar deti hai.wo log ameer hai.ab mujhay ye batain un ki bhabi batati rehti thi.ab meri behan ki shadi bhi nida k susral main ho gai.ab sahi aur ghalt ki buniyad per main apni behan ko batati thi k ladriki waloo main ziyada kasoor hai aur ladrki main.lakin shaid ek adha baat bhi nida ki bhabi ki batai ho gi.aur meri jethani ka bhi kabhi meray sath salook acha nahi raha hamesha degrade hi kiya hai aur ab bhi ker rahi hai.meri apnay susral main badri izzat thi ya hai,hamara ghar sub ka ana jana bhi ziyada hai kiyon k meri saas badri hai so khala saas mamoo sub attay hai aur her family matter meray samnay hi discuss hota tha main ajj tuk idher ki baat udher nahi ki haan informatuon sub ki hoti thi jitni koi batata tha.meri jethani aur dewarani behanay hai aur family ki hai .main aur meri behan out of family se hai.aur ye shadiyan teen(3)sister k bachoo main ha.ab main nay qasam uthai hai k main apni behan ko in ki bhabi ki batain nahi batati thi iska kiya kaffara hai?meri jo chat mari jethani nay beghar puchay meray mobile per padhri us main un ki behan ki batain tu thi lakin baqi sub ko acha kaha tha ya un ki talaq jo faisla huwa tha us k after haq meher ki baat thi.jis ko meri jethani nay apnay rung main wazahat ki jo meri attention nahi thi.pls mujhay Allah ke azab ka buhat khuf hai daar hai k ghalti se main nay jhooti qasam na khaa li ho.Wo ladriki (nida) 28 saal ki hai aur us ko rooti bhi pakani nahi atti ,aur apni bhabiyon un k bachoo ko marti bhi hai galiyan bhi deti hai wo bhi intahai gandi third class k admiyon wali.pls guide me about this matter 

Nazar poora karna

Q: Mere 12th ke exam the to mene ye keh diya tha ke Allah mujhe pass karde me 40 din ki jamat me jaounga par phir mujhe pata chala ke asa karne se jana hi hota hai pr ye sahi nahi hai. To mene Alah se toba kar li. Result ane se pehli baat hai sari. To kya mujhe jana chahiye ya nahi.

Dil me niyyat karna se kya nazar waaqi hota he?

Q: Mere 12 ke exams the to mene niyat kari thi ke Allah mujhe pass karde me jamat me jaouga phir mene ek din niyat kari ke Allah mujhe pass karde me 40 din ki jamat me jaounga par phir mujhe laga ke tune jayda din keh diye phir ek do din baad mene niyat kari ke Allah mujhe pass karde me jamat me jaounga chahe vo kitne bhi din ki ho 40 ya 10. phir mujhe laga ke mene do niyat karli to mujhe dono me jana pade ga phir me 10 din ke liye chala gya tha par ab mere se 40 me nahi jaya gayga me iska kaffara dena chahta hu app mujhe bta dijiye ki me kitna kaffara du

mere dusra question ye hai ke agar koi admi 40 din ki jamat ki niyat kare or phir use lage ke usne galat kar diya hai or use jana na ho or vo toba karle to kya sahi hai?

Nazar aur mannat poori naji huwi to kya kare?

Q: Humse ek gunaah ho gaya hai, humne apne board exam ke acche result ke liye 1 lac shukrana namaz , 1000 roze, 100 Martaba quraan ki tilawat etc Mani thi. Kyuki humara result toh bahut kharab aaya tha or maani hui chezo ki mikdaar inni badi thi toh humne chor diya. Aaj iss baat ko teen saal ho gaye hai or humare padhaye ke halat itne kharab ho gaye hai jiska tasavur bhi nhi kiya ja Sakta. Kyu ki mein medical ki preparation kar rhi hu toh inko pura kar pana abhi humara liye mumkin nhi hai, Hume aisa mehsoos hone laga hai mano Allah ka gazab nazil ho gaya ho hum par.... Please sir humari madad kigeye please....

Nazar bhoolna

Q: Mera swaal he ki mene kisi kam ke pura hone ke liye kuch nazar mani thi q ki kafi din bad kam pura hua isliye me bhul gyi mene kya mana tha to ab kya kaffara ada kren iske liye meharbani krke bta dijiye Allah apko jazaye kher ata farmaye Ameen.