Qasam owr mannat

Qasam towrna

Q: Mujhe ap se pochna tha k mein ne apni zuban se yeh qasam khayi k "mein Quran pak ki qasam' khati hon mein yeh gunah chor don gein aur mein ne bht hifazat ki apni qasam ki par kal mujh se meri qasam toot gyi aur jis baat ko qasam khayi thi woh mujh se gunah ho gaya. Mein bht pareshan hon mujhe plz batayain mein is ka kafara kya ada kerun Mein jis mulk mein rehti hon yahan maskeen fakeer nahi hotay mein pakistan se bahir Bahrain mein rehti hon mujhe plz mujhe batayain mein kaisay qasam ka kafara ada kerun Mein ne namaz parh k apnay zuban se kaha tha k mein Quran ki kasam khati hon yh gunah nahi kerun gein par mujh se ho gaya woh gunah kal. Ap k jald reply ki muntazir hon.

Jhooti qasam

Q: Mere shohar ne mujhse do bar jhuti kasam kha k mujhe bola hai or akhri bar unko jab meine quran paak hath mei lekar kasam khane ko kaha to wo hath mei utha kar kasam khaliye lekin tabbhi mujhe yakin nahi hora hai aisa lagta hai jab ye insan 2 bar jhuti kas kha chuke hai to abbhi jhuti kasam hi khayenge. Please mujhe bataye ke kya aisa koi tarika hai jisse malum pad jaye ke kasam sacchi hai ya jhuti please. Mujhe reply karde.