Qasam torne ka kaffarah

Q: Mein ne namaz parhne k baad naik irade se Quran ki qasam khai ke mein is bure kaam ko chor dun ga. Lekin do din baad hi mujh se qasam toot gai. Mein bht preshan hn. Meri help kren

A: Allah Ta'ala se taubah kare Qasam taurne ki waja se, aur qasam towrne ka kaffaara adaa kare. Qasam towrne ka kaffara ye he ke aadmi das miskeeno ko kapra pehnaai us qadr kapra jis me namaaz ho sakti ya das miskeeno ko sadaqatul fitr ke miqdaar ke baraabar pesa dow. Agar kisi ko is par qudrat ne ho, to teen din musalsal roza rakhe kaffara ki niyyat se.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)