safar

Watne-e-suknaa se safar karna

Q: Mera ghar Jaranwaala he aur me Faislabaad me rehta hu jo Jaranwaala se pentees (35) km ke faasle par he or me har jume ghar jata hu. Ab me hafte ko subah Jaranwaala se Faislabaad aaya, do din Faislabaad raha or peer ko Jhang chala gaya jo Faislabaad se pachattar (75) km he, aur ayk din guzaar kar wapas aa gaya, ab kya waapas Faislabaad aa kar me qasar namaaz prhunga ya poori namaaz parhni hogi?

Qasar namaaz

Q: Me Karaachi me rehta hoon magar meri nowkri Karachi se 92 km door nooriabad he. Hafte me che din ki duty hoti he or ayk din ghar pe guzarta he to is surat me muje kya karna chahiye? Kya jahan meri nowkri he wahan me qasar namaaz parhu ya poori aur qasar parhni hogi lekin mere dil ko itminaan puri namaaz parhne me he to kya me puri parh sakta hu or qasar ke ahkaamaat kya honge? Kitni rakaat parhni hongi or kis tarah niyyat ki jaegi?