Naamo

Larki ke lia munaasib naamo

Q: Aaj hamare gharme rahmat or barkat beti ban ke aai hai. Uske liye maine adeefah name chuna hai. Urdu me Azifa zuwaad se likha jata hai. Phir English me Adeefah (D) se actual spelling keya hogi gor farma kar batayen or agar aap koi achha sa name bata den to meharbani hogi?

Bareerah naam rakhna

Q: "Barira Jannat" kiya yeh name rakhnne se new meaning banay ga ya dono names ke alag alag meaning rahein ge? Barira Name ka meaning kya hai? kuch sites pe meaning pious likha hai or k site pe ((( Barira is a sweet fruit produced by the Arak tree, which is also the tree used for the making of miswak. Barira is an ancient Arab girl name and is derived from the B-R-R (“to be faithful”) root which is used in many places in the Quran, thus it is an indirect Quranic name.))) Tell me real meaning kya banay ga Barira name ka? Second question Barira Aisha Name rakha ja skta hai ? Kindly dono sawalo ka jawab zarur dein. Jazak Allah Khair.

Azaan naam rakhna

Q: Azaan naam rakhna kesa he. Kia ye naam bhari he meray bhanjay ke naam azàn h wo bohat bimar rehta h log kehtay k us ka naam badal den ye naam bhaari he is liye wo bimar rehta he.