Zindagi me ihtiyaat wale raaste par chalna

Q: Main or mera bhai Bahrain main job karty hen. Main ne abhi yani 3:50am pe ye khwab dekha ke main or mera bhai jo k mujh se 8 saal chota ha hum apny ek uncle ke sath (wo bhi bahrain main hen) gaari main kahen jaa rahy hen rasty main kuch sunsan jagha aati ha or waha pe ek larki khari hoti ha white dress main Mery uncle uski taraf Gari morna chahty hen laikan mera bhai ek lambi or zordar cheekh Marta ha or kehta ha k seedha chalo, uncle us larki ki taraf nahe jaty or road pe Gari Le aaty hen, thori der baad main dekhta hon k road left turn kar raha ha or uncle bohat speed main hen, Main uncle ki taraf dekhta hon to wo so rahy hoty hen, Main jb tak unhen awaz deta hon Gari bohat zor se samny dewar main lagti ha or hum sb ko kafi choten aati hen, Plz is ki tabeer bata den.

A: Aadmi ku chahia ke zindagi me ihtiyaat wale raaste par chale. Jis kaam me Deeni ya dunyawi khatra us ku nazar aawe, us ku us se parhez karna chahia warna us ku dunyawi nuqsaan (maali nuqsaan) uthana parega ya Deeni nuqsaan uthana parega.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Labels