Published 9 years ago
Last updated 5 years ago
Q: Mera sawaal he namaaz ke mutaalliq, jamaat ke saath namaz me muqtadi ku kya kya parhna chahiye? Kya muqtadi imam ke sath Allahuakbar kehsakte he? Aur jis tarah pehli rakat me muqtadi sana parhta he kya woh har raqat me yani chaar rakat waali ho ya do rakat waali ho dobaara parh sakta he? Koun koun si namaaz me Akele ho ya jamat ke sath dobaara sana parha jata he bata dijiye. Kya hum juma mubaarak kehsakte he?
A: Muqtadee namaaz me qiraat ke aur Sami Allahu Liman Hamidah ke alawa baaqi tamaam doosree tasbeehaat wa ghayra parhle.
Jee.
Nahi. Thana to mahaz pehli rakaat me hoti he.
Yeh sunnat nahi he. Jumuah ke din kathrat se durood shareef parhe. Ye be asl cheeze ko chor de.
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
Answered by: