Buri suhbat se parhez karna

Q: Mainy aaj khawab main dekha ke aik bohat bari chez uper se neche giri zamin pe lekin main bach gaya to iska kia matlb ho sakta he? Main is khwaab ki wajah se bohat pareshan hoon.

A: Allah Ta'ala aap ke Imaan, Deen, maal, jaan aur izzat ki hifaazat farmaae tamaam shar se. Neak suhbat ikhtiyaar kare aur buri suhbat se parhez kare. Buri subat se aadmi gunaah ki taraf maail hota he. Gunaaho se parhez kare aur paanch waqt ki namaaz par paapandi kare musjid me jamaat ke saat aur tamaam na mahram aurato aur larkiyo ke saat pardah kare.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada