Na mahram larke ke saat baat karna owr taalluq rakhna

Q: Mera aapse yeh sawal hai ke mera liya ek rishta aaya hai jo 5 saal se humare peecha pade hua hai rishta k liya per mare ammi is rishta k liya Nahi Mann rahe hai ladka bahut Accha mai bhi razi hun kuch aisa bataiya jisse ki mare ammi razi ho jaye or wo mujhse Bahut mohobbat bhi kerta hai kafi time se peecha laga hua hai plzzz mare madad kijiya. Ab uss ladke ke gharwale kahi or uska rishta kerna ke liya bol rahe hai he humare pass ziyada time nahi hai mai apsa request ker rahe hun. Please humare madad kijiya apki bahut thankful rahenga hum dono hume apka jawab ka intezar rahega. Zarur jawab bhejiya kuch aisa kerna ka liya bataiya jisse mare ammi jaldi se razi ho jaye. Allah hafiz.

A: Shari'at me jaaiz nahi he kisi larki ke lia ke wo ayk na mahram larke ke saat baat kare owr talluq rakhe. Aap Allah Ta'ala se sacha towbah kare apne gunaah ke lia owr pukta azam kare ke aainda aap aysa kaam nahi karengi. Agar aap ke maa baap nikaah ke lia us larke se khush nahi he, to aap apni maa maap ki baat maan le.  

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)