Q: Meri umar 23 saal he or mera source of income kuch nahi he. Lekin phr bhi pocket money or eidi etc se merey pass approximately 70,000 he or 10 tola chandi(jo k mri walidah ny mjy dii hy) or 7000 maliat ka gold hy. Yeh raqam merey pass 2-3 saal se hy. Last year merey pass jama shuda raqam 50,000 or 10 tola chandi or 7000 maliat ka gold tha jinki mene zakat ada kar thi. Men aapse yeh pochna chahti hun ke kya mujh par in sub cheezon ki zakat bunnti he ya nahi. Qu ke me yeh raqam apny laser eye treatment ke lye jama kar rhi hun qu ke meri eyeside weak hy. Agr laser treatment na krva ski tu phr yh raqam apny jaheiz ke lye istimal karun gi. Tu kya is situation me mujh par zakaat banti he ya nahi.
A: Zakaat banti he in cheezo se. Uski maajmooa qeemat ka zakaat aap ke oopar aata he.
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
Answered by: