Haraam taalluqaat

Q: Mai jis ladki se nikaah karnay wala tha, us ladki ki marzi sirf mujh se nikah ki thi. Shuru me ladki ki maa ki marzi bhi thi lekin ek acha rishta aaya to ladki ki maa nay ladki ko taweez de k us ki shaadi karwa dii us ki marzi k khilaaf. Ladki nay nikah kar b liya mujhay bataya take nahi lekin ladki me nikah ke aglay din ro ro ke kaha ke mai khush nahi hoon. Aaj raat ko mujhay khawab me ladki aayi vo ro rhi thi. Mainay poocha ghar waloon me zabrdasti shaadi karwai. Wo bolti haan aur bolti mai wahan shaadi nahi krni but ab shaadi to ho gayi. Mai dua kar raha hoon ke un ka talaq ho jaye aur hum donu nikah karain gay. Aap mujhay istikhaara kar ke batao ke mai unki talaq ka wait karoon aur ladki pe jo jaadu ya taweez maa nay lagain hain us ka kaat kar dejiye. Please help me. Mai bhi ladki ke begair soch soch ke pagal ho raha. Sabar nahi ho raha.

A: Jab us ka nikaah hogaya, to aap ke lia jaaiz nahi he ke aap us se baat kare owr raabta rakhe. Tumhara jo talluq tha us ke saat us ke nikaah se pehle, wo haraam tha. Aap Allah Ta'ala se tawbah kare us haraam talluq se owr pukhta azam kare ke aap aainda ye gunaah nahi karenge.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada