Q: Mera sawal yeh hai ke teen talaaq ke baad agar sohar aur biwi phir se sath rehna chahe aur halaala nikah ke liye showhar kisi shaks se kahe ki meri saali hai aur usko uske sauhar ne talaaq de di hai phir usko halala nikah ka masla bataye ki halala nikah mein aisa hota hai ki koi shaks talaaq shuda aurat se shaadi karta hai phir talaaq de deta hai ki woh apne sauhar k liye halal ho jaye aur woh shaks halala k liye tyaar ho jata hai magar us shaks par yeh shart nhi ayad ki jaati hai ki tum humbistari k baad talaaq de dena aur iske liye ladki bhi raazi ho jaati hai phir nikaah k baad din mein woh dono hotel mein jaate hai aur humbistari karke woh shaks 15 minute baad talaaq de deta hai to kya halala ho gaya?
A: Halaala hogaega lekin zuroori he awrat par ke dowsre nikaah se pehle wo apne pehle khaawind ki iddat poori kare. Jab uski iddat poori hojae to phir wo kisi owr ke saat nikaah kar sakti. Ja dowsre showhar ke saat nikaah owr halaala hojae (yani dowse khaawind us ke saat humbistari bhi kare) owr usku talaaq dede to us ke zimme par zuroori hoga ke dowsre khaawind ki iddat bhi poori kare. Jab uske dowsre khaawind ki iddat poori hojae to wo pehle khawind ke saat dowbara nikaah karsakti agar downo milna chahe.
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
Answered by:
Checked & Approved: