Wasaawis

Q: Mera swal ya ha mein wehum or weswassy ki mreez hun weswasa any pa mary munh sa allah ka bary ma nauzbillah gali nukul gayi asa muj sa 2 bar hua 1 bar shadi sa pahlay or 1 bar shadi ka bad or muj sa ya gulti bhi hui k mein kehny lagi thi allah pak or raheem ha or shatan ko gali dany lagi thi lakin mary munh sa oult nikul gaya yany jo allah ko kehna tha wo shatan ko or jo shatan ko kehna tha allah ko keh diya ya ab sa 16 sall pehlay ki bat ha ab mein na suna ha k asy kufrya kulmat sa eman or nikah fased ho jata ha mera allah or rasool pak per pukhta yakeen ha mein nmaz rozy tusbeh darood shreef kusrut sa perhti hun mujy ab ya bimary bhi ho gayi ha jo allah or rasool pak ka bary mein gult weswasa aya tha mein na zaban sa bhi keh diya ha mujy kuch sumj nahi ati asul hakikat kia ha k mein na asa kha ha k nahior ager mein namaz perh ka bethi hun yuk dum khial ata ha mein na namaz nahi perhi to mujy bulkul yad nahi ata k mein namaz perhi ha ka ni esi terha or kamo mein asa huta ha or asay wehum deen ka kamon ma huty hein kabhi khial ata ha umry pay gayi thi to gusul wajib tha mein na gusul nahi kia tha or huj par gayi thi to mein napak thi or mein isy napaky mein huj kia tha mein saudia mein rehty hon allah ki rehmut sa akcur umry ka moka mel jata ha lakin wehum weswasy pryshan rukhty hain huj mein na 12 sall pehly kia tha lakin wesway ab aty hain es terha muj sa pehly jo 2 gultian houny thi on ka bary mein mary zehun mein tha k shatan ko gali dany lagi thi lakin gulti sa allah ka bary nauzbillah gali nikul gayi lakin ab mujy shatan weswsa dalta ha k shatan ko kehny wali bat tum na apny pass sa bnai ha bulkay tum na jan boujh ka asa kaha tha kabhi weswsa dalta ha tumhra arada asa kehny ka tha or kabhi weswsa dalta ha tumhra arada nauzbillah kufer ka tha yany her weket nay nay weswsay aty hain or mujy kuch sumj nahi ata k asal mein muj sa kasy gultian huni meray dil mein kubhi kufer ka khial nahi aya mera allah or rssol per pukhta yaqeen ha in wesawes sa mera dil allah ki taruf or ragib hota ha mein pak saf zingi guzana chahti hon lakin mery dil mein wehum bath gaya ha k in 3 gultioun or wesawes sa mera eman or nikah to fased nahi ho gaya ya gultian muj sa 16 saal pehly huni thi lakin in ka bary mein weswasy ab ana shuro huy hein jub sa mein na kufrya kulmat ka bary mein perha ha ka asy eman or nikha fased ho jata ha werna es sa pehlay mein mutmaeen thi jub muj sa gultian hui thi mein na ro ro ker allah sa mafi mangi thi lakin ab ya wehum tung ker raha ha k ager mera eman or nikah fased ho gaya hua to mein kitny gunah gar hon or ya 16 sall mein na gunah mein guzary ager mera nikah fased ho gaya tha or jo mein na huj umray kiay hain on ka kia ho ga ager khudanakhasta mera eman fesed ho gaya tha mein es time buhut tention mein hon her wrket dil odas or bachan rehta ha koi khoshi mehsos nahi hti apny nikah ot eman ki tention rehty ha please mujy mery eman or nikha ka bary mein tufseel sa jwab dain k mujy tasuli ho jay allah ap ko jazay kher da.....plz answer dey dein...

A: Aap in wasaawis ki taraf diyaan ne de. Kalimah tayyibah kasrat se parhe owr rowzana fazaail-e-Amaal owr Fazaail-e-Sadaqaat ki ta'leem kare.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)

Labels