Halaala

Q: Mera sawal yeh hai ke agar kisi shaks ne zohar ki namaz ke baad halaala nikah kiya aur uske baad din mein hi mubashrat ki aur 1 ghante baad talaaq de di to kya halaala nikah ki sharait poori ho jayengi?

A: Jee ha. Agar aurat ne pehle khaawind ki iddat poori ki aur phir nikah kya, aur is neyi nikah me doosre khaawind ne humbistari bhi ki aur phir us ku talaaq de di, to aurat par zaroori he ke wo doosre khaawind ki iddat bhi ghuzaar le. Jub doosre khaawind ki iddat poori hojaaye, to wo pehle khaawind ke lie halaal hojaayegi.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)

Labels