Haraam taalluq

Q: Mera sawal yeh ha ke mjy aik larki se mohabbat ha mgar is mohabbat se pehly ma kafi sare gunah ka murtakib tha mgar us larki se talauq ke bad mujy Allah ki pehchan mili ha mjy sufiyana rung mila ha ab ma Alhamdulillah paanch waqt ka namazi bhi hu owr apny gunahon se toba bhi krta hu har wqt Allah ki zikr r Astaghfar se Zuban tar rehti ha hm 2no ki mgar us se phone pe bat krta hn r kbi b by hayai ki bat hm dono me ni hui wo bi muj se mohabbat krti ha hm dono nikah ki khalis niyat rkhty hen mgar aaj k dor k halat ap khud janty hen smj ni aata kia kia jay mgar hm Allah Tala se aik dosray k haq me dua krty hen k Allah pak hme nikah k pak bandhan me jor dy hmari mohabbat sirf Allah ki raza ha r hm aksar hi Islamic topic pe guftagoo krty hen us k halat pasmanda hony ki wja se ma us ki maali madad bhi kr deta hn kia ac mali madad jazz ha. us se nohabbat k bad mjy Allah ki zaat pe sobh k taloh hony ki trah yaqeen ha mgar sawal yeh ha k hmara tauluq jazz ha ya na jaz jb k hm apny nafs ko nikah hony se pehly tk qaboo me rkhtay hen r Allah ki panah chahty hen hmari rehnumai krain kahin hm Allah k azab ki zad me na aa jayen plz jald Rehnumai krain.

A: Ye talluq haraam he. Na mahram larki se baat karna owr talluq rakhna jaaiz nahi he. Jab tak nikaah ne hojae, tum downo ayke dowsre ke lia haraam he. Is talluq ku fowran khatam karde. Aap Allah Ta'ala se tawba kare in gunaaho ke lia owr pukhta azam kare ke aainda aap ye gunaah nahi karenge. Agar aap un se shaadi karna chate to unke maa baap se baat kare.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada