Published 7 years ago
Last updated 5 years ago
Q:
1. Mera sawal ye he ke agar peshaab karte waqt peshaab ke cheente jism ke kisi bhi hisse par gir jaye to ghusal farz ho jata he ya nahi?
2. Doosra sawaal qible ki tarf ho kar ghusal krna chahiye? Rehnumaai farmade.
A:
1. Ghusal fardh nahi hota, lekin us jaga ku paani se dhowlo.
2. Ghusal karte waqt jab jism nanga ho, to qibla ki tarf ruk karna jaaiz nahi he.
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
Answered by:
Checked & Approved: