Watne-e-suknaa se safar karna

Q: Mera ghar Jaranwaala he aur me Faislabaad me rehta hu jo Jaranwaala se pentees (35) km ke faasle par he or me har jume ghar jata hu. Ab me hafte ko subah Jaranwaala se Faislabaad aaya, do din Faislabaad raha or peer ko Jhang chala gaya jo Faislabaad se pachattar (75) km he, aur ayk din guzaar kar wapas aa gaya, ab kya waapas Faislabaad aa kar me qasar namaaz prhunga ya poori namaaz parhni hogi?

A: Apne watan Jaranwaala se jab aap nikle agar aap ki niyyat Jhang jaane ki thi, to aap musaafir huwe. Faislabaad me aap musaafir rahe owr Jhang me bhi aap musaafir rahe. Jab waha se aap Faislabaad waapas aaye, to agar aap ne waapsi me Jaranwaala jaane ka iraada kya, to aap musaafir huwe, Faislabaad me aap musaafir huwe owr ghar waapas aane tak aap musaafir rahe. Lekin agar apne watan Jaranwaala se aap nikle owr aap ne Jhang jaane ki niyyat nahi ki, owr sirf Faislabaad se Jhang jaane ki niyyat ki, to aap Faislabaad me bhi musaafir nahi rahe owr Jhang me bhi musaafir nahi rahe. Jab aap Jhang se waapas aaye Faislabaad ki taraf, owr app ne Jaranwaala jaane ki niyyat nahi ki, to aap Faislabaad me musaafir nahi huwe.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

(Masla ki mazeed tafseelaat ke liye neeche dekhiye)

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)


Q: Aap ne farmaya ke apne watan Jaranwaala se nikalne ki niyyat mo'tabar hogi, aap ne ye bhi farmaya ke agar pehle niyyat nahi thi magar Faislabaad aa kar waha se Jhang chle gaye to bhi namaaz qasar nahi ada ki jayegi hala ke Faislabaad me men mudarris hu aur har hafte Jaranwaala jane ka iraada hota he. Kya Jhang jate huwe mera safar Jaranwaala se shumaar nahi ho ga? Doosra mujhe ye batlaye ke agar me pehle Jaranwaala se Faislabaad aata hu, phir do chaar din bad mera iraada banta he Islamabad jane ka jo teen so km he taqreeban, phr do chaar din ke bad me waapas Faislabaad aata hun to kya Faislabaad me men qasar parhunga ya mukammal?

A:

1. Agar aap ku maloom nahi tha ke aap Jhang jaane waale the owr sirf Faislabaad phonchne ke ba'd aap ne jaane ki niyyat ki, to Jhang jaane ke ba'd aap musaafir nahi honge choocnge Faislabaad owr Jhang ke darmiyaan safar ke masaafat nahi he.

2. Qasr parhenge.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)

Labels