Haraam taalluq

Q: Mera sawaal yeh he Main nay hamesha har chez main Nafs ko tarjeh di Main kehta tha mujhy Allah say aur Nabi Pak Saww say bht pyar ha lekin os main ikhlas nahi tha phir ek Aurat meri zindagi main aein jin kay tufail meri mohabbat main ikhlas agia aur en aurat say mera koi taluq nahi ha agar aj wo meray dil main hain tou Allah ki waja say main es aurat ko ley kar Paak sochta hon main nay enko propose kia enho nay accept kia proposal hum nay ghar bhe bat ki meri family man gai but on ki ami nahi mani. Ab asal main bat yeh ha main on say 10 saal age main chota hon aur meri study ka masla ha onko lagta tha main mbbs student hon halankey main next year start karunga Plz koi wazifa bataen koi dua bataen jin say onkay ghar waley man jaen Naseeb Allah banatey hain magar main chahta hon wo meray naseeb main hon dua bhe karta hon Main pori zindagi on kay liye rona nahi chahta Plz help me regarding this matter kukay main onko dil say nahi nikal pa raha dekhien meri soch na paak nahi ha plz koi wazifa advice dien mujhy main kia karun ab?

A: Mard ke lia jaaiz nahi he ke wo kisi na mahram awrat se baat kare owr talluq rakhe. Is haraam talluq ku fowran khatam karde owr Allah Ta'ala se tawbah kare. Issy tarah pukhta azam kare ke aainda aap ye gunaah nahi karenge. Agar larki ke maa baap khush nahi he, to aap is ke peeche ne pare. Aap Allah Ta'ala se dua kare ke Allah Ta'ala aap ku neak owr munaasib rishta naseeb farmae. Namaaz ke ba'd ye dua parhe.

رَبِّ إِنِّي لِمَا أَنزَلْتَ إِلَيَّ مِنْ خَيْرٍ فَقِيْر

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)