Bank me rakhe huwe paise par zakaat

Q: Hamare waalid sahab ka inteqal ho Chuka he, hamare ammi ko Abbu ka pension milta he, aur hamare ammi ke bank account me 5 lakh rupees he aur kuch gold he, jispe saal guzar Chuka he, ye paise aur gold ko ammi ne meri aur meri bahan ki shadi aur mere bhai ki padai ke liye rakhe he,me job karta hoon, hamare ammi ke pass pension aur upar paiso and gold ke alawa koi aur source of income nai he, kya is Surat me hamare ammi par zakat farz he kyunke ammi ne 5 lakh aur gold hamare shadi ke liye rakhe he.

A: Jee ha, zakaat waajib he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)

Labels