Mardo ke liye musjid me namaaz parhna

Q: Ham do miya biwi he. Hamare saath hamare kiraye daar rehte he. Un ke chaar bache he. Do baaligh or do nabaaligh. Sawaal ye he ke agar ghar me ba jamaat namaaz ada ki jaye to aunty (jo kiraaye daar he or un se koi rishta nahi he) hamaare sath ba jamaat namaz ada kar sakti he?

A: Mardo ku chaahiye ke musjid jaa kar namaz ba jamaat parhe, ghar me namaz na parhe. Lihaza agar aap ke ghar ke qareeb Musjid he, to aap ku chahia ke Musjid me namaaz parhe. Aap ke parowsi ku chahia ke apne ghar me akele namaaz parhe. Ye us ke lia behtar he owr ziyaada sawaab haasil karne ke baais he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)