Na mahram larki ke saat baat karna owr ta'alluq rakhna

Q: Me ek ladki se bahot pyaar karta hu aur woh bhi mujh se karti hai aur aage hum dono ne shadi ka irada bhi kiya tha but uske ghar k maali halat thik na hone k wajah se use kahin aur kaam k liye jaana pada me is chiz se khush nahi tha but me maan gaya.aisa kareeb ek saal tak chala woh kuch din k chutti pe aati fir chali jaati mujhe hamesha aise khwaab aate k woh mujhse dhoor jaa rahi hai aur me sirf uska apni life me wait karta reh jaoga is khwaab ki mujhe tabeer jaanni hai.

A: Nikah se pehle tamaam qissim ki ta'alluqaat na mahram larka aur larki ke darmiyaaan haraam he. Aap Allah Ta'ala se taubah kare is haraam ta'alluq se aur azam kare ke aainda aap aisa ghunaa nahi karenge. Agar larki se shaadi karni ho, to un ki maa baap se baat kare.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)