Nabi (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke waseele se dua karna

Q:

1. Hafiz Faiz Syed and Maulana Tariq Jameel and Zakir Naeek apne speeches me kete hn ap Nabi Pak (Sallallahu Alehi Wasallam) ke waseela se dua nai mangsakte kyn ke wo chale gae duniya se ap bs Allah se mango direct but Nabi Pak (Sallallahu Alehi Wasallam) to hamare durood or salam paise kye jate hn n wo sunte hn jo hum bejte hn mohabbat me?

2. They also say Aulia Allah ka waseela manga jaiz nai n unke mazarat pe jake unke waseela se dua karna shirk hai?

A:

1. Waseele se du`aa karna durust he.

2. Waseela se du`aa karna durust he. Waseela se du`aa karne ka matlab ye nahi ke woh zabardasti se koi kaam karaayenge balke matlab ye ke Allah waalo se mahabbat karna khud eik bara achcha kaam he aur achche kaam ko karna aur us se ta`alluq rakhna ye bhi matloob. Lihaaza is achche kaam ki wajah se meri du`aa qabool farmaaye. Lihaaza waseele keliye mazaaraat par hadhiri ki koi dharoorat nahi.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)

Labels