Kiya "chor dena" kehne se talaaq hogi?

Q: Main abhi Iraq main houn.meri wife k sath pic send karnay py behas hui.usnay meri bat ko ghalat smjha.ghalatfehmi peda hui usky sath aur jagra hua.many gussay main aky sirf yeh bola "many tumhain hal pay chora chao to cchor do mujy tum" phir usny dobara msgs kiye ultay sedhay to many phir likha "ajsay many tumhain tumhary hal py chora"  Lakin mujy talak k ilfaz ka pata ha Quran ka pata ha aur tarjuma sy Quran parha hua ha...manay na to talaq ki neyat sy dia tha...bs tang akay bola k roz k jagray hotay hain means tum lagi raho ab main kuch nahi bolta tumhain...yeh point tha...aur agar talaq deni hoti to main deta bcz darany k lia main aksar talaq ka bola karta tha...lakin kabhi nahi di lafz b ada nahi kiye...bas tang akay bola sb...kia talaq hui ?

A: Agar aapke urf me lafz "chor dena" talaaq ke ma`na me isti`maal kya jaata he to uske kehne se eik talaaq-e-raj`ee waaqi hojayegi.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)