Wazifa parhne me kiya niyyat karna?

Q:

1. Wazaif, Allah's names, Quran verses per mushtamil hote hn. Aik shaks ne surah yaseen sharif ka wazifa shuru kia to wo apna maqsad hal hone ki niyat se parhe ga ya Allah ki raza kelye kyn ke Allah razi hoga to kam automatic hojaega uska?

2. Jab hum surah yaseen ka wazifa parhenge to Surah yaseen parhne ka sawab hame milta hai wazifa me ya niyat se parha hota hai wo hasil hojata hai bus?

3. Quran parne kelye niyat zaroori hai ya just Bismillah parke shuru karsakte hn?

A:

1. Har ibaadat aur har kaam ki niyyat Allah Ta'ala ku khush karne ke lie hona chaahiye.

2. Parhne ka sawaab bhi milega.

3. Bismillah parke shuroo karde.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)