Published 7 years ago
Last updated 5 years ago
Q: Mera sawaal ye he ke agar kisi aurat ko har waqt paani aata he jeyse leucorrhoea bol ke koi bemaari he jis se us ku safed paani khaarij hota he. Phir wo kya is haal me namaaz par sakti he ya nahi?
A: Jee ha, namaaz parhe, namaz ku qaza ne kare. Agar koi aurat ma'zoor ho is bimaari se to wo ma'zoor ke hukm ke mutaabiq amal karegi. Ma'zoor ka hukm ye he ke namaz ke waqt ke shuroo me wudhu kare aur poore waqt me us wudhu se namaz aur Quran parh sakte. Us paani ke nikalne se ma'zoor ka wudhu nahi totega.
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
Answered by:
Checked & Approved: