Shia ki be asal baate

Q: Mera sawal hai kay Aleppo may kisi jaga pay aik pathar hai or usko shia mazhab kay log ye kahtay hain kay wo ye pathar hai jis par Hazrat Hussain radhiyallahu anhu ko ghusal dia gaya tha, or us say har saal 10 Muharram Ashuraa kay din khoon nikalta hai! Agar ye ghalat hai tau wazahat krdain!

A: Shia ki aksar baate be asal hoti he. Hazrat Husain (Radhiyallahu Anhu) ku gusal nahi diye gaye kyunke wo shaheed te aur shaheed ko ghusal nahi diya jaata he. Hazrat Rasulullah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne Hazrat Hamzah (Radhiyallahu Anhu) ku aur jo Sahaabah jang-e-Uhud me qatl kiye gaye, unku ghusal nahi diya kyunke wo sab shaheed te.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)