Q: Mera question hai k quran per past k liye qasam uthai hai k main nay ye kaam nahi kiya us ka kiya kaffara hai? Kaam ye tha k family main meri aur meri jethani ki bhabi ki appas main chatting thi jis main us nay apni naand (nida) k baray main batya tha k wo todri mentle hai hamay marti hai jo k such hai, puri family janti hai.ab un kay ye baat pata chali tu wo kehti thi k app se baat un k susral puhnchi aur us ka ghar kharab huwa,jub k wo ladrki(nida) apnay susral main bhi gandi galiyan di apnay susral waloo ko ghareebi k tanay diye jis ke baad wo us ko ghar na laye.apnay ghar main bhi wo apnay baap tuk ko maar deti hai.wo log ameer hai.ab mujhay ye batain un ki bhabi batati rehti thi.ab meri behan ki shadi bhi nida k susral main ho gai.ab sahi aur ghalt ki buniyad per main apni behan ko batati thi k ladriki waloo main ziyada kasoor hai aur ladrki main.lakin shaid ek adha baat bhi nida ki bhabi ki batai ho gi.aur meri jethani ka bhi kabhi meray sath salook acha nahi raha hamesha degrade hi kiya hai aur ab bhi ker rahi hai.meri apnay susral main badri izzat thi ya hai,hamara ghar sub ka ana jana bhi ziyada hai kiyon k meri saas badri hai so khala saas mamoo sub attay hai aur her family matter meray samnay hi discuss hota tha main ajj tuk idher ki baat udher nahi ki haan informatuon sub ki hoti thi jitni koi batata tha.meri jethani aur dewarani behanay hai aur family ki hai .main aur meri behan out of family se hai.aur ye shadiyan teen(3)sister k bachoo main ha.ab main nay qasam uthai hai k main apni behan ko in ki bhabi ki batain nahi batati thi iska kiya kaffara hai?meri jo chat mari jethani nay beghar puchay meray mobile per padhri us main un ki behan ki batain tu thi lakin baqi sub ko acha kaha tha ya un ki talaq jo faisla huwa tha us k after haq meher ki baat thi.jis ko meri jethani nay apnay rung main wazahat ki jo meri attention nahi thi.pls mujhay Allah ke azab ka buhat khuf hai daar hai k ghalti se main nay jhooti qasam na khaa li ho.Wo ladriki (nida) 28 saal ki hai aur us ko rooti bhi pakani nahi atti ,aur apni bhabiyon un k bachoo ko marti bhi hai galiyan bhi deti hai wo bhi intahai gandi third class k admiyon wali.pls guide me about this matter
A: Taubah karo agar qasam jhooti thi.
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
Answered by: