Published 7 years ago
Last updated 6 years ago
Q: Main Ahadees ki mukhtalif kutub parhta rehta hon or un ki buniyad par kisi bhi mamlay par apna aqeeda rakhta hun. Kya ye amal theek hai? Aisa krnay ki wajah zehn main uth rahe sawalat or un k baaray main pochne par sakoonat ikhtiyar krne ka jawab hai. Baray e Mehrbani Rehnumai kren.
A: Koi bhi kitaab kisee bhi fan ki kitaab ho khud mutala karne se ghalat fehmi ka shikaar ban jaayega. Us fan me jo mahaarat rakhta he uske paas jaa karke sabqan sabqan usko haasil karo us se shukook wa shubuhaat ka shikaar nahi hoga aur gumraah nahi ho ga ne doosro ko gumraah karega.
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
Answered by: