Quraan khani karwana

Q:

1. Ghar mai Quraan khani karwana or khud Quraan mai se apne ghar mai kuch padh lena in dono mai kya fark hai?

2. Kya pura Quraan padhwana zaruri hai?

A:

1. Khood parhne me umooman ikhlaas ziyaadah huwa karta he aur aazaadi hoti he. Agar ziyaadah parhna chaahta ho to ziyaadah parh sakta he. Warna majboori me kuch parh leta he. Jee nahi laga huwa he tilaawat me Khuda ka khiyaal nahi balke braaderi aur rishtedaaro ka khiyaal he.

2. Nahi.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

(Scroll down for more information regarding this question)

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)


Q: Agar Quraan khani karana durust nahi hai to agar hamare koi rishtedar Quran khani pe bular to kya jaake sipara padhna chahye ya nahi? or hmari niyat kya honi chahiye??

A: Apne makaan Qur'aan khaani karo Khuda ki khushnoodi ke khaatir.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)