Q: Mera sawal yai hai ke kia corona virus ki waja se hum ghar me jumma ke khutba aur namaz ka ihtamam kar saktay hai? Aur is ke liye sharayat kia hai?
A: Aap log jummah namaaz apne makaan me parsakte he be shart ye ke jummah ki sharaait paaye jaai.
Jummah ki sharaait me se ye he:
1) Sheher me hona sihhate jumuah ke sharaait me se he.
2) Jummah pharne waalo ki tadaad kam az kam chaar hona chahiye imaam ke saath.
3) Logo me ilaan aur ishtihaar ho ke is jaga me Jumma ho raha he.
4) Jis jage me jummah namaaz qaaim ki jaai, waha par izne aam hona chaahiye. Izne aam ka matlab ye he ke us jage me logo ko aane aur jummah me shirkat karne ki ijaazaat ho. Agar logo ko andar aane se rokh diye jaaye, to jummah nahi hogi.
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
حضرت تھانوی رحمہ اللہ نے بہشتی زیور میں جمعہ نماز کے شرائط میں لکھا کہ عام اجازت کے ساتھ علی الاشتہار نمازِ جمعہ کاپڑھنا۔ پس کسی خاص مقام میں چھپ کر نمازِ جمعہ پڑھنا درست نہیں ،اگر کسی ایسے مقام میں نمازِ جمعہ پڑھی جائے جہاں عام لوگوں کو آنے کی اجازت نہ ہو یا جمعہ کو مسجد کے دروازے بند کر لیے جائے تو نماز نہ ہوگی۔ (بہشتی زیور ، ص ۷۴۶)
Answered by:
Checked & Approved: